Wednesday, September 9, 2009

YSR Rocked !!!

Sabke jigar ka tukda, Sabke jeevan ka mukhda,
Ek dam se toot gaya, Na jaane kahaan bikharkar kho gaya,
Aasman mein taara bankar, Itni door chala gaya,
Jahaan koi pahunch nahin sakta, Jise koi choo nahin sakta...

Aapne andhra mein, Pure congrees ki kaman sambhaali,
Badi muddat ke baad, Lakh koshishon ke baad,
Paada yatra ke zariye, Jageh jageh ghoom kar,
Apna paseena bahakar, Aapne babu ko gaddi se utaara,
Phir apne CM banne ke sapne ko sanwaara...

Lagaatar dusri baar, Daud jab badi hi mushkil thi,
Tab bhi himmat na haarkar, Sonia ko bharosa jataakar,
Kayi Kayi badi hanstiyon ko chunaav mein maat diya,
Apne hunar se, Un sabko ko shikast kiya,
Aur ye Saabit kar diya ke, Himmat hai to sab kuch hai...

Aam aadmi bankar, Logon mein rehkar,
Hardam harpal, Unke liye apna jeevan jeekar,
Unki baat samajh kar, Unki takleef sunkar,
Ehsaan ka zariya bankar, Kayiyon ki zindagi mein roshni bharkar,
Sabke dil mein apna aashiyaan bana baithe,
Aur ek din unhi ke liye apni jaan gawaan baithe...

Aapki Himmat, Nidarta, Zindadili, Hansi, Kabiliyat, Sonch,
Aapka Zameer, Josh, Jazaba, saadapan, Bholapan, Nek dil,
Sabko tahe dil se salaam karte hain,
Aap sabke dil mein chaagaye, Pehchaan bana gaye,
Jaate jaate, Apni muskuraahat se bhari chaap chod gaye...

Rajeev palle baata ke zariye, Har gaaun ghooma,
Indiramma illu dwara, Sab ko gharon mein basaaya,
Rendu rupayila biyyam dekar, Har bhooke ko khaana khilaaya,
Runa maafi karke, Gareebon aur lachaaron ko mukt kiya,
Pavala vaddi se, Kam pratishat mein karz diya...

Uchita karentu dekar, Kisaanon ko roshan kiya,
Rajeev arogya sree dwara kayiyon ko jeevan daan diya,
Bc scholarship; 5% reservation se, Vidyaarthiyon ko khush kiya,
Jalayagnam se andhrapradesh mein khushi ki lehar bahaai,
Jo kaha vo kiya, Aur jo kiya sach kiya...

Ab kaun gareeb logon ke aansun ponchkar, Unka dard baantega,
Kaun hai jo unhein samjhkar, Haunsle ka zariya banega,
Kaun unke saath rehkar, Apnepan ka ehsaas dega,
Kaun andhera hatakar, Unki zindagiyon mein noor bharega...

Bhaarat maan ne, Ek mahaan neta kho diya hai,
Khwaab mein bhi soncha na tha, Ke itni jaldi Khyaati paayenge,
Aur phir usi jashn mein guzar jaayenge,
Idupulapaya mein apna aashiyaan banakar,
Hamesha ke liye vahin jaakar bas gaye,
Sabka gham hatakar, Chain ki neend so gaye...


Isi tarah sabke dil mein jug jug jiyo hazaron saal,
Aap jaise acche aadmi aur neta ko hum dekh nahin payenge,
Sadaa labon par aapki hansi hum kabhi bhool nahin payenge,
Bhale kitne saal guzar jaayein, aap jaisa CM hum nahin payenge...

No comments:

Post a Comment