Monday, August 10, 2009

Aye Maa...

Aapke mulayam haathon mein plakar bada hua,

Aanchal aapka pakadkar chalna seekha,

Aap ko dekhkar jaana zindagi kya hoti hai,

Aapki parvarish mein jeena seekha hai,

Lori sunkar, aapki god mein sona seekha hai...


Hardam apni aankhon mein basaati hai,

Hamein khush dekhkar chain paati hai,

Chot hamein lagti hai par takleef aapko hoti hai,

Saans hum lete hain dhadkan aapki bajti hai,

Rote hum hain aur aansun aapke nikalte hain...


Mujhe chod kar kahin mat jaao,

Mamta ka rishta tod kar kabhi mat jaao,

Jo aap nahin phir kuch nahin,

Hum aap ke bina nahin reh payenge,

Is jang se bhari duniya mein nahin reh payenge,

Logon ka kaha sun nahin payenge...


Aap ko duniya se rukhsat bhi karna pade,

Hum pehle hum dum todna pasand karenge,

Aapki god mein rooh kabz karna pasand karenge,

Aap ka kiya ek zarra bhi vaapas na desakenge,

Aapki mamta ka karz na phed sakenge...


Bhale kitne hi janm guzar jaayein,

Har janam mein aap meri maa banna,

Aap ki god mein pal poskar bada karna,

Mera aayina, mera numaayina,

Mera astitva, meri pehchaan,

Mera aaj mera kal, Mera Sabkuch aap hi ho maa...


Agar is waqt bhi koi meri hifaazati-salaamti chaahtaa hai,

To vo duniya mein koi aur nahin sirf meri maa hai...

3 comments:

  1. wah wah....maa ke bare mein bahut likna bhi kam hota hein i liked few lines very much like...

    "Aap ka kiya ek zarra bhi vaapas na desakenge,

    Aapki mamta ka karz na phed sakenge..." n

    "Bhale kitne hi janm guzar jaayein,

    Har janam mein aap meri maa banna,"

    this one shows ur affection toward ur mom n i wanna add a line to it ...." HO SAKE THO TUMSE PEHLE HUMARI YE JAAN CHALE JAAYE MAA"

    ReplyDelete
  2. simply supereb khaja....u seem to b a professional...
    this one specially is so heart touching...

    ReplyDelete
  3. Thanx...But still i believe tht whatever i hav writt'n is just 1% of what my mom has done so far 4 me...Dis is dedicated all d moms in dis world...

    ReplyDelete