Dil jiske liye tarse unse ab tak mulaqat nahi hui hai,
Chain ki zindagi bhala aur kab tak jiyein,
Mere khoye hue josh-o-umang ko jayage,
Jhoota hi sahi kuch pal ke liye hi sahi...
Is sote ko nachaye, Meri baaton ko sune,
Kanch ke is dil ko hifazat se thame,
Hai kio aisa jo is dil ki baat ko jaane,
Hum bhi mast khism ke aashiq hain...
Mujhe samjhe, Mujhe chahe, Mujhe jaane,
Mere saath khushi se apni zindagi guzaare,
Koi aisa jo hamein raas aye,
Koi apna jo dil ke paas aakar mera chain ujaade...
Jugnu bankar ghoom rahe hain,
Har waqt use dhoondh rahe hain,
Uske sath ghoomna chahte hain,
Ghanton bhar baat karna chahte hain...
Hansna chahte hain, Uske sang rona chaahte hain,
Har rang ko chakhna chahte hain,
zindagi ke har saaz ko gaana chahte hain,
Har pal use apne aankhon mein basana chahte hain...
Friday, November 27, 2009
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment