Monday, August 10, 2009

Savere ki Talash...

Hai mujhe jis savere ki talash na jane kab aayega,

Apne saath khushiyon ki saugaat kab laayega,

Vo raat na jane kab aayegi,

Apne thande saye mein pyas kab bujhayegi...


Aye zindagi tere gham ke saaye mein,

Na jaane humne kayi parl guzaar diye,

Teri gham ki syaahi se,

Hum aaj apna dard-e-dastan likh rahe hain...


Khushi ki aas mein na jane kahan kahan bhatakte rahe,

Uski talash mein har dar par khatakte rahe,

Tairna aata na tha, Par jeene ki aas mein,

Tere dard bhare dariya mein dubkar maut se khelte rahe...


Na koi sahara na kinara,Na jaan na pehchaan,

Hokar anjaan aur pareshaan,

Khushi to door ki baat uska saya bhi naseeb na hua,

Khaye itne thokar, Reh gaye khud ko khokar...


Aur jeene ki aas na jaane kab dafan ho gayi,

Zindagi ke ghum mein door ho gayi,

Ab to bas rukhsat ki aarzoo baaki hai,

Is duniya ko chodne ki chaah baki hai...

No comments:

Post a Comment