Sunday, December 13, 2009

Dekhte hi dekhte ...

Dekhte hi dekhte na jane ye kaise ho gaya,

Maheene bhar ka arsa, Jaise ek pal mein guzar gaya,

Guzra hua haqeeqat ankhon mein sapna bankar reh gaya,

Waqt ka kanta ruk jaye abhi, Ye manzar tham jaye yahin...



Khela khuda naacha gaaya, Har kirdar ko bharpur nibhaya,

Lada jhagda hansa hansaya, Har saaz ko gun gunaaya,

Itna sab kuch na jane ek lamhe mein kaise kar guzaara,

Aur to aur kayi naye dost mile, Kayi gair apne bane...



Karta hun yaad jab is wakfe ka, Bhar aate hain aansu,

Humse ki gayi sharaarat-shikaayat, Vo gusaa vo jazba,

Jeet ke kareeb hone par dhadkanon ki badhti hui aahat,

Thodi si sharmaahat aur labon par dher saari muskuraaht...



Stallions Eagles Cheetahs, Khel mein vipakshi bhale,

Magar saare sierran hain, Hum sab bhartiya ek hain,

In mein apne kayi yaar, Kayi dil daar hain,

Ye sab dil ke acche aur sabse bhadkar nek insaan hain...



Chalo isi tarah sab milkar ek sath chalenge,

SierraAtlantic ko sunehra makaam banayenge...

No comments:

Post a Comment