Saturday, August 4, 2018

Kaise bayan karun us gulab-e-jaam ka !!

Kaise bayan karun us gulab-e-jaam ka,
Tere diye misri se mithaas maze ka,
Jab pehli baar labon ko labon se bandh kar,
Tune apna sharbati ishq ghulaya tha,
Rasile makhmali honton se aab-e-kausar pilaya tha...

Kaise zuban karun us lamhe ka,
Jab tune akele mere hath se hath milaya tha,
Meri tanhai ko sath dekar,
Mujhe apna humsafar banaya tha...

Kaise izhaar karun un palon ka,
Jab raaton mein main tujhse milta tha,
Chandni mein teri god mein sokar,
Apni tamannaon aur khwahishon ka khulasa karta tha...

Kaise bataun dil pe guzre haal ka,
Jab chori chori chupke chupke,
Teri khubsurti ko nihaarta tha,
Tujhe banaye us rab ki khoob tareef karta tha...!

No comments:

Post a Comment