Saturday, August 4, 2018

Badi chubhti hai tanhai, Diwana bana deti hai ye tanhai, !!


Badi chubhti hai tanhai, Diwana bana deti hai ye tanhai,
Koi na jane us tadap ko, Jab masum apni maa se dur hota hai,
Uske stanon se dudh peene ke liye, Jab bekaraar hota hai,
Lage pyaas bhukh kuch bhi, Kisiko bata nahin sakta,
Agar rokar bataye bhi, Iska kaha koi samaj nahin sakta...

Budhe maa-baap ko, Unke aulaad jab khud dur karte hain,
Unka dard baante wala, Unki cheekh sunne wala,
Aakhir hath pakad kar, Sahara dene wala to dur,
Khair-o-khabar puchne wala bhi, Koi rehta nahin...

Jab do premi, Duniya ke reeti riwazon se,
Ya aapas mein, Kuch man mutaav se bichadte hain,
Dil mein banaya pyar, Tut tut kar bikhar jata hai,
Guzre saare pal, Yaad aa aakar rulane lagte hain,
Akele rehne nahin deti hai ye tanhai...

Jab do naye shaadi-shadi miyaan biwi,
Sharm-o-haya ko chodkar, Ek dusre mein mil jaate hain,
Ek dam se Kisi wajeh, Alag se agar rehna pade,
Raat mein sote hain, Kitna bhi sona chahe,
Virah ki aag mein, Jaage bin rehte nahin...

Mere Maula...Mujhe kabhi akela na chod na,
Is tanhai ke samundar kabhi na dubona,
Apnon ko yaad kar kar, Rone ke bajaye,
Hanste Hanste hi, Meri rooh kabz kar lena...!

No comments:

Post a Comment