Hue laakhon shahid, Waste watan ke mere,
Ujde chaman kayi, Is Gulzaar-e-aman mein,
Zamin bahi laal, Lahu luhaan khoon se inke..
Kayee aansu balidan, Dekar jaan aur maan,
Bas desh ki azaadi ka, Dil mein liye armaan,
Sabki mashakkat ne,Tiranga uncha lehraya,
Nek tamannaon ne,Is desh ko azad karaaya..
Azaad desh ke azaad wasi,Jutna hai sab ko ek,
Mazhab ke in dayron se, Banna hai sab ko nek,
Dekar jahaan ko,Anekta mein ektaa ka prateek,
Huyein hum ek, Apne vichaaron se, Iraadon se..
Banane apne is desh ko,Ek bharat shreshth bharat,
Aao mil julkar banayein,Ek bharat shreshth bharat !
No comments:
Post a Comment