Saturday, June 6, 2020

Aye Insaan...Maine kya bigaada tha?


Aye Insaan... 
Maine kya bigaada?, Apne raaste ka, Mujhe kanta kyon banaya?, 
Bejhijhak apni raah bin garaz chali jaati,Tere chanv tak na aati, 
Kyon tune laachar kar daala, Apne swaarth ka anjam bana dala, 
Jhutha niwala khilaa, Mujhe mere masum ko behaya maar dala.. 
Accha hua.. 
Vo mere kafan mein lipat gaya, Bhale us naadan ko kya pata tha, 
Baahri duniya mein intezaar karta, Insani darinda koi khadaa tha.. 

Na khudaya, Na koi aur us dard bhari peeda mein saath raha tha, 
Wajud janta ha..Dil ghut ghut, Kaise aansuon mein beh gaya tha.. 
Nihatthe bebas main,Zakhmon ko paani mein chupakar khadi thi, 
 Logon ki aah wahi mein,Kamzor apni bahon mein khud ja giri thi… 

Ye dharti ambar-chaand-sitaare, Main bhi to in sab ki haqdaar thi, 
Na jaane kyon bharosa kiya, Tere hath ka jhutha niwala khaya tha, 
Aye insaanon.. 
Kisi aur ke saath ye sulook na karna, Behuda sa beinsaaf naa karna, 
Bhalaayi na karsako,Par kabhi anjan ke sath,Bura anjam naa karna !!


No comments:

Post a Comment