Sunday, June 14, 2015

Ye sarhadein kaisi, Ye kaisee lakeerein...

Aye maula...
Ye sarhadein kaisi, Ye kaisee lakeerein,
Kyon itna khudgarz, Ban gaya hai insan,
Kabhee vatan,To kabhi mazhab ko lekar,
Kyon tukdon mein, Bant gaya tera insan ??..

Ye kaisi dehshat, Hai ye kaisi vehshat,
Kisi haiwaan ki tarha, Lagta hai insaan,
Sare aam insaan ko, Marta tera insaan,
Chod insaniyat..Na jaane..
Kis bhawandar mein phans gaya insan..

Dil se nikli maula ki awaaz jawab deti hai..
Ye kis duniyaa ki tuu, Ab baat kartaa hai ??..
Banayi thi jo maine..Ab vo duniya, ye nahin,
Badal gayi hai, Ab ismein rehta insan nahin,
Bhalaa ye duniya teri hai, Ye ab meri nahin,
Bhalaa ye koi aur hai, Ye duniya meri nahin !!

No comments:

Post a Comment