Saturday, September 13, 2014

Raaton mein jaagkar...

Raaton mein jaag jaag kar din mein sota hun,
Har pal tere khayaalon mein khoya rehta hun,
Tanhai mein aksar tujhse batein kiya karta hun,
Har pal tere hi saath rehne ki aarzu rakhta hun,
Sadaa tumhein hi yaad ab main kiya karta hun,
Aayine mein bhi hamesha tumhein hi paata hun,
Zindagi mein aakar, Mujhe mein yun samaakar,
Arman ban gaye ho,Dil ke mehman ban gaye ho !!

No comments:

Post a Comment