Ho rubaru, Teri dilkash nazron mein kho gaye..
Teri khubsurti par janam, Yun fidaa ho gaye..
In be-talab nazron se, Tera deedaar kar gaye..
Tujhe banaye rab ki, Khub tareef kar gaye..
Hue ruh se tere itne karib...
Ke hum khud se bhi dur ho gaye!!
--------------------------
Tere deedar mein, Dil kabhi yun bekaraar na hua,
Teri khubsurti mein, Kabhi aaj jaisa nihaar na raha,
Tere ane ka, Kabhi yun besabri se intezar na raha,
Aye Chand !!
Mehbub ka paigaam aur Khushiyaan, Tu saath laya,
Aate aate saath apne, Mahe Mubarak Ramzan laya !!
----------------------------
Na jaane koi iski bhasha, Na maane,
Na jane anjam, Hain sabhi gum-nam,
Na koi reet, Hai na jiska koi kanoon,
Ajeeb nasha, Hai jismein khub maza,
Na laage jismein, Kabhi bhukh-pyas,
Kaisa ye ISHQ hai,Ajab sa RISK hai...
----------------------------
Kar chale..
Sarhadein-o-Karwan, Paar kar chale,
Kuch Yadein, Baatein samet ke chale,
Kuch apne, Kuch sapne banaa chale,
Thode ansu,Thode ghum baha chale,
Chal chale..
Apni manzil ko, Ab kuch aur sajaane chale
Nek iraade-ummeedon ke sath hum chale !!!
----------------------------
Dekha tujhe..Dilkash narzon mein, Gaib ho gaye,
Chaha jo tujhe..Teri chaahat mein, Kaid ho gaye,
Pal-pal khudse hoke bhi, Khayal se tere ho gaye,
Ab chaah ke bhi, Aashiq-e-dil kahin lagtaa nahin,
Jo teri chahat..Teri ibadat mein, Masruf ho gaye !!
-----------------------------
Na tera ikarar, Na karaar baki raha,
Na koi sitam, Na fariyaad baki raha,
Na justju, Na koi shumaar baki raha,
Na aur izhar, Na tera inkar baki raha,
Raha jo bhi..
Is guzarte manzar mein, Yun dhalta raha,
Ab na tu..Na dil ko..Tera intezar baki raha !!
-------------------------------
No comments:
Post a Comment