Friday, August 29, 2025

Wafa ka farz nibhata raha !


Zindagi ishare karti rahi, Main beparwaahi bharta raha,

Jaan-e-haqeeqat se nazrein hatataaye, Parda karta raha,

Khushiyan pane ki aas liye, Jholi bhar ashk bahata raha,

Apnon ki bewafai jankar bhi, Wafa ka farz nibhata raha..


Jab tak zinda tha, Har saans mein nayi raah rakhta raha,

Shohrat hasil karne, Zindagi ki raftar pakad bhagta raha,

Rukhe khwabon mein,Muskaan bhare raaz chupata raha,

Khamosh mehfil ki tanhaai mitane, Naya sur milata raha..


Zakhm-o-Dard lash jaise, Shifa-e-jazba paida karta raha,

Log keh gaye haar gaya,Jo kabhi mere hisse ka naa raha,

Andher masnoon raton mein,Roshan chiraag jalaata raha,

Kisika na bharosa mujhpe,Khud chaanv mein chalta raha..

Har hansee ho tere hisse


Har hansee ho tere hisse, Har khushi chalke tere kisse,

Zindagi ka har nuskha kiya tere naam ho,

Likh de khuda har khushi tere naseeb-o-taqdeer mein !

Kabhi to naseeb meri hogi !

 

Firaak lagaye baitha hoon, Kabhi to naseeb meri hogi,

Aur na auron ki, Sirf-o-sif mere hisse mere kisse hogi !

Befizool fursat kharch karte the !


Ik vo daur jab, Befizool fursat kharch karte the,

Hathon khali, Par dil-e-amaanat se mehfuz the,

Ye daur jab sab kuch hoke bhi, Insaan tarsa hai,

Lamhe bhar ki mohlat mein, Kal ki fikr karta hai !

Ilm ka rishta !

 

Ilm ka rishtaa hunar se hai, Rayeesi ka hissa taqdeer ka hai,

Vaise karni to padti hai,Har kisee to thodi bahut mashaqqat,

Baithe-baithe siwaye khali hath, Thodi yahan kuch milta hai,

Magar sukoon-o-sehat to naseeb se hai..

Jisse har koi mukammal khali hai, Jiski mod fikr-e-fizool hai !

Ghar aangan rishte !



Ghar aangan rishte har sirhe se jud jaate hain,

Bhale chale jao hoke lakhon meelon door inse,

Ehsas-e-tasavvur se sans bhar sath aate hain,

Kitna bhi inkaro, Pal bhar mein ye jud jate hain !

Hafiz-e-Qur’an


Barkaton ka saaya hai, Falak se fazl-e-noor chhaya hai,

Hafiz-e-Qur’an se, Aapke ghar noor-e-qafilah aaya hai !

Iltija-e-Akhri !

 


Baa umar bhar kafir-e-shak rakh, Usse befizul doori ikthiyar karta raha,

Kya kuch kahaa-kosa peeth peeche,Jab bhi chaar yaar darmiyaan raha,

Palak jhapte chin gayee zindagi aahat bhar mein, Gurur jiska karta raha, 

Log phul barsate rahe kafan-e-kafile pe, Bheege rooh se lipte rota raha,

Siskiyan bharta tanhai mein,Rab se ek lamha lafz-e-arzu iltija karta raha,

Vo munsif kaandha diye mait ko,Jo umar bhar meri wafa ka gawah raha,

Kadam-e-wafaai nibhaye,Ashkon mein dub meri magfirat maangta raha !

Friday, August 15, 2025

Naseeb ka mila rookha niwala !


Naseeb ka mila rookha niwaala, Badnaseebi lubhaye halaq se uda gayi,

Subh-o-sham sune kamiyabi kisse, Auron ke hisse kabhi mere naa hue,

Tamannaon ki jholi samete khade hain, Khudaya dil-e-fariyaad to sunle,

Dhundte maqsad insaan-e-wajud ka, Taqdir ki raah chune mashgul hue,

Guzardi zindagi beparwaahi mein, Koi to mile jo rooh-e-parwaah kar de,

Kati sari raat dard-e-chaadar odhe,Koi to jude jo jaan mein jaan bharde ! 

Vo gali vo chaubara !


Dil phir dhoonde, Masnun bachpan ka raasta,

Siskiyan bharte, Pukare ye ise ab phir dubara..


Vo gali vo chaubara, Vo jharna nadi ka kinaara,

Barish bheegi mitti taazi, Dariya sa ubhra pani,

Kagaz kashti dubkiyan liye, Rangi apni rawaani,

Fizaa ke rangon mein,Khushiyan nikhri puraani..


Guzra kal sapna purana, Pal bhar iska ana jaana,

Yaron ke gappe, Sang jinke khaye the gol gappe,

Jhoolon ke mele,Ranjhna sang mukammal phere,

Sab kuch bhula,Lut gaye jahan bhar humhi akele..


Maa ki anchal lori, Papa ka azeem-o-bari kandha,

Nani ke shifa-e-nuskhe, Dadi ke lazeez-e-chuske, 

Nana ki thami jo laathi, Kar Dada ki mehfooz tijori,

Shuru kya hui, Ankhon dayron beech simti kahani.. 


Roz-marra ke bhag-daud lamhon se, Pal churaye,

Dil roye aansu bhare, Khali takiye mein khota hun,

Ye ilteja karte hue, Ke khuda itni meharbani karde,

Azeez apne, Anmol kisse aaj mere hawaale karde..


Vo apar daulat bhi lele, Ye shohrat-e-taaj bhi lele,

Lauta bachpan,Jiski har subh-o-sham thi roshan,

Manzil ki tang galiyon mein, Chute jo sunehre kal,

Waqt se ho bekhabar, Ojhal dhundle vo saare pal !

Aayine se darta raha !

 


Jab tak aayine se darta raha, Haqeeqat se pare raha,

Andheron se lagaav, Parchai se peecha chudata raha,

Roshni mein ruh chupake, Khudise judna chahta raha,

Zindagi ki jang se,Khudiko ehsaas-e-waqif karta raha !

Aankhein meeche so gaya !


 

Dil thake haare aankhein meeche so gaya, 

  Jagane ki firaaq se yaadon ke saye mein chain kahin kho gaya,

Kaha tha subah ko jaldi na aane, 

  Chand ke gurub mein, Suraj ke sath dehleej pe khada ho gaya !

                                                                                

Daayron mein karwatein !


Waqt dhalta hai, Daayron mein karwatein leta hai,

Shab ki nikhar se, Khudko naye rang se odhta hai !

Ta'aluqaat mazboot bante gaye !



 Zindagi ke dhalte lamhon sang,Ta'aluqaat mazboot bante gaye,

Nazuk dor mazbut judti gayi, Rishton mein bunte bandhte gaye !



Mannaton ka chaman !


Chain se bhara hua kal, Mannaton ka chaman dhundta hun,

Khush-haali ka bachpan, Ikhlaas bhari zindagi dhundta hun,

Naani ki kahaaniyon mein mila jo, Vo gulistaan dhundta hun,

Guzre hue daur ka, Sukun bhara zaar-e-aman dhundta hun..


Kho gaya bhagam-bhaag ke bhawandar mein, Kuch is kadr,

Aayine se rubaru,Kash-ma-kash mein khudko dhundta hun,

Desh ki azaadi ke jashn mein, Ab apni aazaadi dhundta hun, 

Mujh se bichda jahaan,Apna astitva pehchaan dhundta hun !!

Gulzaar-e-aman !


Hue laakhon shahid, Waste watan ke mere,

Ujde chaman kayi, Is Gulzaar-e-aman mein,

Zamin bahi laal, Lahu luhaan khoon se inke..

      Kayee aansu balidan, Dekar jaan aur maan,

      Bas desh ki azaadi ka, Dil mein liye armaan,

      Sabki mashakkat ne,Tiranga uncha lehraya,

      Nek tamannaon ne,Is desh ko azad karaaya..

          Azaad desh ke azaad wasi,Jutna hai sab ko ek,

          Mazhab ke in dayron se, Banna hai sab ko nek,

          Dekar jahaan ko,Anekta mein ektaa ka prateek,

          Huyein hum ek, Apne vichaaron se, Iraadon se..

               Banane apne is desh ko,Ek bharat shreshth bharat,

               Aao mil julkar banayein,Ek bharat shreshth bharat !

                                                                       

Sunday, August 10, 2025

Jab kabhi guzarta hun, Teri us gali se !


 Jab kabhi guzarta hun, Hokar teri us gali se,

Nazar jaake rukti hai, Usi khidki dehleez pe,

Dil-e-nadan hua meharban,Paake jis jhalak se,

Phir naa kisi ka hua ye, Us nigaah-e-asar se,

Zindagi sanwar gayi,Teri ek nazar-e-falak se !

Zaaya na kar keemti waqt apna !

 


Zaaya na kar keemti waqt apna, Unke liye jo na tere the na hain aur na rahenge,

Guzaar lamhe unhi ke beech, Jo bin rishte judke bhi tere haqdar hokar rahenge !

Hunar ki koi bol nahin !

 


Hunar ki koi bol, Hai naa iski koi mol nahin,

Jis kisi bhi sirhe se, Iski naa kahin tol nahin,

Khuda ki di niyamat hai, Ye zaahir-e-Izhaar..

Na kisi ki thi, Naa kabhi kisiki hogi bhi nahin,

Hunar andaaz ki hai, Kabhi keemat ki nahin !

Kala ke liye zindagi qurban jata hai !

 


Jo waqt ke dhalte lamhon sang, Khudiko dhaalta hai,

Zamane ke rang manch pe,Kirdar baqubi nibhata hai,

Khud ki chavi mein khokar, Hunar mein chalaktaa hai..

Bhulanae par bhi, Har lamha wajud-e-ehsaas dilata hai,

Dard se ubharkar, Masum muskan se sabko lubhata hai, 

Vahi kalakar hai, Jo kala ke liye zindagi qurban jata hai !

Saturday, August 9, 2025

Chal Chaand Dur Aur !

 


Dil hare kehta bas na ab aur, Haunsla bharta chal chand dur aur,

Yahi silsila-e-safar sama baandh le aayaa, Us daur se ab is daur,

Jode dil ki dor, Kheench le chala aayaa raftar mein yun apni aur..

Ehsas-e-hal waqif dil karwatien badalta,Kabhi is aur kabhi us aur,

Samajh musalsl naazuk rishton ka mol, Ye ab na lagaye kabhi zor,

Jee jaana hai har haal mein, Lekar is nayya ko kisee kinaare chor !

                                                                                  

Behen Bhai Ka Azeez Rishta !


 

Sunday, June 22, 2025

Aayine ki si jhalkon mein !


Nazuk bandhe reshmi palon mein, Aayine ki si jhalkon mein,

Behijaabana behaya,Nigahon ke palkon se roobaru ho gaye,

Mehak bhare angaron mein, Dili lutf-lubhe arman fana gaye,

Aankhein moonchti dhar gayi,Un nazron ki aad chanv bhare..

Khwahishein shauk se ubhri, Tamannaon ki gehrayiyon mein,

Sharm-o-haya kab gaib hui, Bharke umang angdaayion mein !

 

Sunday, June 8, 2025

Monday, March 31, 2025

Saturday, March 15, 2025