Wednesday, December 16, 2015

In guzarte lamhon mein dhal jaane do !!

In guzarte lamhon mein dhal jane do,
Ab askar girte hue sambhal jaane do,
Galtiyan bhale hui jane anjane mein,
Galtiyon se hi sahee sudhar jaane do..

Har mod har manzar hai naya yahaan,
Har pal har lamhaa kab rukta yahaan,
Har imethan se muskurakar milne do,
Pal pal ko ab pyaar se gale lagane do !!

Tuesday, December 15, 2015

Kar zindagi ko aur rangeen, Khul ke khel holi !!

Kar zindagi ko aur rangeen, Khul ke khel holi..
Dhulde ghum gulal se, Khushi se kar hum joli..
Rangja rang mein iske, Bhang mein bhar holi..
Khel aise, Jaise phir kabhi laut ke na aye holi !!

Vo atpati baatein, Vo chatpati shararat !!

Vo atpati baatein, Vo chatpati shararat,
Vo chulbuli harkatein, Pal pal ki hararat,
Gudgudi chutkule,Vo musmusayi muskan,
Dil mein dabe raaz, Hai jinka humein naaz,
Nahin bhoolenge, Vo bindaas din bachpan ke,
Rahe ga naaz humein, Kal ke 'KVian' hone pe !!

Nazar meri chahe shohbat,Nazar se teri !!

Nazar meri chahe shohbat,Nazar se teri..
Baandhe ik resham si dor, Falak se teri..
Dil talabgaar, Pal pal badhti talab se teri..
Hai malhaar, Khoke magan mein ye teri..
Iski har khwaish,Har sifat bhi,Hai ab teri !!

Jab bhi miltee hai, Ik anjan paheli si lagti hai !!

Jab bhi miltee hai, Ik anjan paheli si lagti hai,
Kabhi suljhi hui, To kabhi ansuljhi si lagti hai,
Kabhi jaani jaani, Kabhi kisi anjan si lagti hai,
Aye khudaya..Ye teri fitrat hai, Yaa kuch aur..

Zindagi ab..
Har pal har zarre mein, Rang badalti si lagti hai,
Har pal har zarre mein, Rang badalti si lagti hai !!

Though we all r different but one & the same!!

Ek ankahee si daastaan ko, Dil mein liye..
Dabe se razon ko, Bematlab bunte chale..
Khwabon mein,Sari qaainat samet chale..
Khuda ki banayi nek makhlooq..
Duniya mein,Apna maqaam banaa chale..
Mazhab matlab kayi, Par ek vahi insaan..
Harek ki apni pehchan, Nek apna wajud..
Kayee ansuljhe raazon aur paheliyon se..
Ghiree hai, Ye ajubee si duniya tamaam !!

Sookhe hue kuyein se, Paanii seenchtaa hai !!

Sookhe hue kuyein se, Paanii seenchtaa hai,
Kanton bhare bagiche mein,Phool chunta hai,
Duniya kii ranjishon mein. Is tarah kho gaya hai insan,
Ke ab din ke ujale mein, Khud ki parchai dhoondta hai,
Din ke ujaale mein ab, Khud kii parchaai dhoondta hai !!

Zehen ke khayal, Guzarte har lamhe mein tu !!

Zehen ke khayal, Guzarte har lamhe mein tu,
Hai ibadaton mein tu, Meri raahaton mein tu,
Dil ki har khwahish, Har aarzu-arman mein tu,
Hai tujhse aabaad, Tujhse roshan ye zindagi,
Iska aagaaz bhi tu, Hai ab iska anjaam bhi tu !!!

Waqt guzar jaata hai, Yaadon ko saath chode !!

Waqt guzar jaata hai, Yaadon ko saath chode..
Tatolta hun un palon ko tanha..
Lekar bebas aankhon mein, Ashkon ko thode !!

Dedicated to all Parents. You fulfill meanings of care, share & life !!

Apnon ki zarurton ko muhaiya karate, Khud ki zarurat ka ehsas na hua..
Unke dhadkanon ki itnee fikar thi, Ke khud kii dhadkan ka pata na chala..
Dil kosta hai har pal har ghadi is baat se, Main hanskar ye keh deta hun..
Apne liye jeena khudgarzi hai, Waste apnon ke unki fikr mein jeena zindagi hai..
Apne liye jeena khudgarzi hai, Waste apnon ke unki fikr mein jeena zindagi hai !!

'Peace of mind' at times, helps u find ur 'Inner-self' !!

Tanhaai aksar puchti hai, Tanhaa se kyon lagte ho?..
Khamoshi kehti hai, Bhala khamosh kyon rehte ho?..
Hanskar kehta hun,Duniya ke shor bhare alam mein,
Ab tanhaai se aksar, Dil ko tasalli si milti hai,
Khamoshi mein, Mujhe apni khudai milti hai !!

New day -> Ray of hope & Lot more opportunities!!

Raat ke andheron mein, Cheerti hui roshni mujhse kehti hai,
Aane wali hai ik aur nayee subah, Muskura laga tu ise gale,
Bhar chain ki sanesein, Chunle kuch masnoon khwab chunle,
Badi haseen hai zindagi, Manzil ki taraf kuch aur udaan bharle!!

Kasbon mein,Kyon bante hain log iss tarhaa?...

Kasbon mein,Kyon bante hain log iss tarhaa?..,
Dilon mein nafrat, Bhare hain kyon is tarhaa?..,
Kyon koi insaan ko,Insaan sa nahin dekhtaa?..,
Apni pehchan khoke,Ik nayi pehchan chunta?..,
Harek ke ragon mein, Vahi laal khoon behtaa..,
Har koi, Usee dhoop Usii chaanv mein paltaa..

Fir kyon?..
Mazhabee pardon mein, Log chupe hain is tarhaa?..,
Un andheri galiyon mein, Chal chale hain is tarhaa?..

Wednesday, November 4, 2015

Monday, September 21, 2015

Zindagi ki raahon mein...

Zindagi ki raahon mein chal chala hoon,
Kuch khwab kuch sapne chun chala hun,
Har shab har ghadee ik nayee seekh liye,
Guzarte lamhon mein bandh chala hoon,
Ek anjaan se safar, Ik anjaan dagar mein..
Khud ko dhundte,  Yun nikal chala hoon !!

Cheekhta hoon, Band chaar deewari mein...

Cheekhta hoon, Band chaar deewari mein..
Dard-e-ghamon ko, Ansuon mein bahakar..
Sunne ko inhein..
Bhari bheed mein, Miltaa kaun yahaan hai?..

Karne hal-e-dil ka bayaan, Mangta hun do pal ki mohlat,
Zindagi guzar jaati hai, Hanskar aankhon ke saamne se,
Rukne ko bhala, Paas iske pal bhar ki mohlat kahan hai ?..

Zakhm hara hara sa, Bin marham ubhra sa rehta hai,
Karta hun fariyad khuda se,Par koi jawab nahin milta,
Bhalaa khudaa ke paas bhi, Pehle si fursat kahan hai ?..
Bhalaa khudaa ke paas bhi, Pehle si fursat kahan hai ?..

Sunday, June 14, 2015

Khula hai asmaan, Satrangi sapne bunle...

Khula hai asmaan, Satrangi sapne bunle,
Sanjh ki garima mein, Rang apne bharle,
Laga pankh, Aaj khuli aazaadi mein udle,
Kya jhoot kya sach,Sab tol barabar karle..

Char pal ki zindagi ko, Tuu bharpur jeele,
Kalko kisne dekha hai, Ise kisne jana hai,
Bas ab ki zindagi, Tuu ab muazzam karle,
Zinda hai toh...
Is pal ko jeele, Pal pal ko khushi se peele !!

Ho iraade nek...

Ho iraade nek, Manzil ko pane ki chah badi..
Haunsle khud ba khud,Buland ho jaate hain..
Kamiyaabi ke raste, Gaib se khul jaate hain..

Bas..
Ek nek iraada banake, Ummeed jagakar to dekho..
Beinteha khwab kis kadar,Mukammal ho jate hain !!

Sooni sooni rahon mein...

Sooni sooni rahon mein,Roshni si tum aai..
Khuda ki dehleej pe, Mannat poori ho aai..
Dilkash nazron se, Hai jaise noor bhar aai..
Bebas meri palkon ki, Mitee hai aaj tanhai..
In bejaan nigahon mein,Phir jaan bhar aai !!

Azad desh ke hum azad waasi !!

Azad desh ke azaad waasi, Banna hai sab ko nek,
Mazhab ke daayron se hokar,Judna hai sab ko ek,
Dekar is jahan ko, Anektaa mein ektaa ka prateek,
Huyein hum sab ek, Apne vichaaron se iraadon se,
Banaane desh bharat ko, Ek bharat shresth bharat..
Aao mil julkar banaayein, Ek bharat shresth bharat !!

Pal do pal ki hai zindagi...

Pal do pal ki hai zindagi....Pal do pal kaa ye kaarwaan,
Pal do pal ka safar hai..Main pal do pal musafir yahan,
Pal do pal ki hai khushi..Ye samaa pal do pal ka lamha,
Pal do pal ka khwaab hai..Pal do pal ka apna ashiyaan..

Is...
Pal do pal mein..Pal pal sanjoke bana ek sunehra jahan,
Pal do pal hi sab kuch..Ab har agle pal ka rehta gumaan,
Pal do pal ki kahani hai..Pal do pal ke hain sab mehman,
Pal do pal ki kahani hai..Pal do pal ke hain sab mehman !!

Dhundla dhundla chehra...

Dhundla dhundla chehra..Rehta ojhal ankhon mein meri,
Bujhtaa sulaghtaa sa....Andhere mein ho jaise diyaa koi,
Banta bigadta hai dil..Khoke sudh-budh yadon mein teri,
Baawnra mann..Banke bhawnra...
Hai phirtaa yun be magan...Be fizool khayaalon mein teri !!

Raftaa dar raftaa...

Raftaa dar raftaa, In lamhon se hai dhalti ye zindagi..
Andhere mein mom ki tarhaa, Hai pighalti ab zindagi..
Raftaar mein raftar pakad, Daudta hun sang zindagi..
Binaa fursat ke, Fursat ki khoj karta hun aye zindagi..

Guzarte palon ko hisaab karta, Kalke faaslon ko ginta..
Ajeeb paheli mein bandhe,Kuch suljhe kuch ansuljhe..
Sang tere anjaan dagar mein, Chal rahaa hun zindagi..
Na jane jiska koi agaaz-anjaam, Aisee fitrat hai zindagi..
Hoti jahan shuroo, Hai hoti vaheen khatm ye zindagi !!

Utra jo chere se parda...

Utra jo chere se parda, Noor mein teri tabaah ho gaye,
Ek haseen dil-o-janam pe, Pal bhar mein fida ho gaye,
Husn-e-ibadat mein palkon se, Sajde kayi ata ho gaye,
Ab har pal khudse hoke bhii, Khayaal se tere ho gaye,
Darmiyan faasle, Deedar mein na jane kab simat gaye..

Ho gaye ruh se itne karib, Ke ab khud se bhi dur gaye,
Ho gaye ruh ke itne karib, Ke ab khud se bhi dur gaye !!

Ye sarhadein kaisi, Ye kaisee lakeerein...

Aye maula...
Ye sarhadein kaisi, Ye kaisee lakeerein,
Kyon itna khudgarz, Ban gaya hai insan,
Kabhee vatan,To kabhi mazhab ko lekar,
Kyon tukdon mein, Bant gaya tera insan ??..

Ye kaisi dehshat, Hai ye kaisi vehshat,
Kisi haiwaan ki tarha, Lagta hai insaan,
Sare aam insaan ko, Marta tera insaan,
Chod insaniyat..Na jaane..
Kis bhawandar mein phans gaya insan..

Dil se nikli maula ki awaaz jawab deti hai..
Ye kis duniyaa ki tuu, Ab baat kartaa hai ??..
Banayi thi jo maine..Ab vo duniya, ye nahin,
Badal gayi hai, Ab ismein rehta insan nahin,
Bhalaa ye duniya teri hai, Ye ab meri nahin,
Bhalaa ye koi aur hai, Ye duniya meri nahin !!

Zindagi ab, Rang badalti si lagti hai...

Jab bhi miltee hai, Ik anjan paheli si lagti hai,
Kabhi suljhi hui, To kabhi ansuljhi si lagti hai,
Kabhi jaani maani, Kabhi kisi anjan si lagti hai,
Aye khudaaya..Ye teri fitrat hai, Yaa kuch aur..
Zindagi ab..
Har pal har zarre mein, Rang badalti si lagti hai,
Har pal har zarre mein, Rang badalti si lagti hai !!

Soona soona sa lage guzarta hua har pal

Soona soona saa lage, Ab guzarta hua har pal..
Geeli barishon mein bheege, Vo beeta hua kal..
Darta hun khud ki parchai se, Dekh agal bagal..
Andhere mein, Mom ki lau ki tarhaa jaltaa hua..
To kabhi bujhta sulagta sa, Mera aane wala kal..

Andhere mein, Mom ki lau ki tarhaa jaltaa hua..
To kabhi bujhta sulagta sa, Mera aane wala kal !!

Tuesday, May 26, 2015

Na ye mazhab tune chuna hai...

Na ye mazhab tune chuna hai, Naa mazhab tujhse bana hai...
Phir kyon..Mazhab ki baat lekar,Rehta har pal pareshan hai?...
Mazhab se badhkar insaaniyat,Naa kuch aur bas insaan hai...
Mazhab ke naam pe dehshat gardi, Kis rab se tune suna hai?..
Bewajeh masoomon pe ye berehmi, Kis mazhab ne kaha hai?..
Tu insan nahin..Tu insan nahin..Tujh mein basaa shaitan hai..
Tuu bhala, kya insaan hai??..,Tuhmein kahan, ab insaan hai??..
Tuhmein kahan, ab insaan hai??..,Tuu bhala, kya insaan hai??..

Barson guzar gaye hain mere...

Barson guzar gaye hain mere, Ik kal ke intezaar mein..
Palkon pe simat gaye laakhon pal, Isii talabgaar mein..
Kal ko banaate tarashte, Hazaron aaj beet gaye hain..
Zindagi ke imtehaan mein, Kayii laaj choott gaye hain..
Waqt ke kagaar par..
Hai dastak deta hua ghadi ka kanta,Kal ki fiarak mein..
Dil umangein bhare, Hai le udaa phir isiki talash mein !!

Zarr se bhi reshmi, Hain zulfein ye teri...

Zarr se bhi reshmi, Hain zulfein ye teri,
Sone ke ashrafiyon see, Palkein ye teri,
Tere deedar mein malhar,Nazar ye meri,
Dil hua hai neelam, Zalim ek ada pe teri...

Nazar meri chaahe sohbat,Nazar se teri,
Baandhe ik resham si dor, Falak se teri,
Dil talabgaar,Pal pal badhti talab se teri,
Iski har khwaahish..Har sifat..Hai ab teri !!

Though we all r different but one & the same!!

Ek ankahee si daastaan ko, Dil mein liye..
Dabe se razon ko, Bematlab bunte chale..
Khwabon mein,Sari qaainat samet chale..
Khuda ki banayi nek makhlooq..
Duniya mein,Apna maqaam banaa chale..

Mazhab matlab kayi, Par ek vahi insaan..
Harek ki apni pehchan, Nek apna wajud..
Kayee ansuljhe raazon aur paheliyon se..
Ghiree hai, Ye ajubee si duniya tamaam !!

Jo meri bandgaani hai, Vo teri meharbani hai...

Jo meri bandgaani hai, Vo teri meharbani hai,
Saanson ke chalne tak ki, Meri zindgaani hai,
Iska har ek pehlu, Toone jo rachi zubaani hai,
In palon kaa guzarna, Bas teri rehguzaari hai..

Pitaare se is dil mein,Faasle yun jodtaa hun door ke,
Par darmiyaan saanson mein, Faasla bahut kamm hai,
In chand faaslon mein dhalti ubharti, Meri kahani hai,
Chand faaslon mein dhalti ubharti,Meri ye kahani hai !!

Kabhi aas letaa hoon, Kabhi saans leta hoon...

Kabhi aas letaa hoon, Kabhi saans leta hoon,
Kabhi andher, To kabhi khulee baarish mein,
Dard-e-ghum ko, Ansuon mein baha leta hun,
Un lamhon ko sonch, Diye zakhmon ko ponch,
Guzre hue daur ko, Yadon mein sametta hun..

Ab dil, Tere vaadon ke saaye mein sota hai,
Aksar raaton, Tanhaa ghut ghut ke rota hai,
Dekh hathon ki lakeeron ko, Apni taqdir ko,
Muqaddar pe apne, Pal pal aansu dhota hai,
Muqaddar pe apne, Pal pal aansu dhota hai!!

Dil dara dara sa, Jee bhara bhara sa rehta hai..

Dil dara daraa sa rehtaa hai, Jee bhara bharaa sa rehtaa hai,
Thoda sehma ghabraya, Ab zameer sar phiraya sa rehta hai,
Imaan..Jankar duniyadari, Beimaan ban mandraya rehta hai,
Mangta hun mannatein,Rab na jane kyon khafa sa rehta hai ?..

Hansta hun magar, Mann khushi se parhez khoklaya rehta hai,
Zakhmi dil halaton se, Ismein zakhm ubhra ubhra sa rehta hai,
Dil ke aayine mein dekhta hun, Us pare abb koi nahi rehta hai,
Humdardi jatate hain log, Par dard vahi hara hara sa rehta hai ?..

Ibadat mein mashgool, Zehen duniyayi fikr mein duba rehta hai,
Chain ki neend soye hua hai arsa, Chain ki saans bhi hai ik tarfa,
Aksar..Tann adha, Mann adha..Adha jaga, Aadha soya rehta hai,
Aksar..Tann adha, Mann adha..Adha jaga, Aadha soya rehta hai !!