Friday, July 23, 2010

About my blog posts...


Bankar bindiya...

Bankar bindiya sajun tere maathe par,

Bankar ayina didarun teri Khubsurti ko,

Bankar laali khilun tere galon par,

Bankar muskaan jiyun tere labon par...


Bankar mehendi rangun tere hathon ko,

Bankar chudi bajte rahun dilakar apni yaad tujh ko,

Bankar chandan-pani lagun badan par,

Bankar vastr dhakun tere badan ko...


Bankar phul khilun tere balon mein,

Bankar itr mehakta rahun har pal,

Bankar kajal badhaun khubsurti aankhon ki,

Bankar pyara khilona katun har raat tere sang...


Ho agar kabhi duniya se tera rukhsat,

Main bhi usi pal tere sath duniya chod aaun,

Bankar lakdi tere hi sath jalkar raakh ban jaun,

Bankar pani tere hi sang beh jaun...


Hai mera jeena mera marna tujhise,

Aye pagli!! Tu kya jane chahata hun kitna tujhe?...


Karta hun be imtehaan muhabbat tujhse,

Na chahiye mujhe daulat na koi shohrat,

Hai tuhi meri zindagi, Tujhise hai bandagi,

Mil jaye jo tera saath, Har ghum khushi se paar karunga,

Jo koi na kare itna tujhse pyaar karunga...

Aye dil...

Aye dil...Hai kyon itna nadaan,

Dikhta hai jo bhi khubsurat anjaan,

Hota hai kyon uspar meharbaan-kadardaan,

Ghumta rehta hai uske ird-gird hoke gumnaam...


Dekh kisiko ek dam se ruk jata hai,

Lagta h ia nikal gayi hai meri jaan,

Lakh koshishein ki maine,

Pur tu hai ke kaha sunta nahin...


Hota hai ek pal mein bekaabu,

Apne kaabu mein rehta nahi,

Marta hai kyon kisi ki muskaan par?,

Yun kisi ki adaa par?...


Phir use hi dekhte hi rehta hai,

Use hi dekhne majbur kar deta hai,

Bahri kuch nahin, Andri khubsurti aham hai,

Kisiki khubsurti par yun na maro...


Dil se jaano aur pehchaano,

Phir jaakar apna humsafar maano...

Behta hai dard...

Behta hai dard banke aansu aankhon se,

Door hue jo yaar hamare rehkar bhi paas nigahon se,

Kyon ye faasle is darmiyaan,

Kaash hota koi aisa jo rota mere liye,

Jo yaad karta mujhe, Jo dil se chahta mujhe,

Agar di mein sacchi dosti ke liye jageh nahin,

Humse dosti nibhaane mein ruchi nahin,

To hamein bhi aisi dosti mein koi shauk nahin,

Aise beraham bekatar dost ke liye dil mein koi jageh nahin...

Mahati...

Hai jo khilone jaisi maasoom aur komal,
Jo dil ki har baat naye andaaz mein kehti,
Jiski har subah-shaam Khushi mein behti,
Narad ki veena samaan hai jiski meethi bol...

NavSantosh ki hai jo dil ki dhadkan,
Unki saans bankar jo har pal chalti,
Maan ki mamta mein chain paati,
Jiski rangeen duniya mein hain kayi aashayein umangein...

Sada apne maan-baap ki aankhon mein basti,
Bhagwan ka swarup bankar hardam sath rehti,
Apni harkaton aur shrarton se muskaan lati,
Hai vahi chulbuli natkhati nanhi si gudiya hamari Mahati...

Duniya ki har khushi ho tumhaare naam,
Khuda ka haath sada rahe tumhaare saath,
Phoolo Phalo, Kali bankar khilo, Jug jug jiyo,
Duniya ki saari shohrat aur kaamiyaabi paao...!

Har pal leti hai naam...

Har pal leti hai naam meri aahat, Karta hun jo tumse be-panah muhabbat,
Banda ye de dega aakhir apni jaan tak, Bas jo mil jaaye ise aapki ijaazat !!

Aankhein...

Aankhein khudrat ke aham den hain,

Jinse hum har pal sundar jag dekhte hain,

Use apne dil mein basate hain,

Aur kayi sapne sajaate hain,

Ye vo noor hai jiske siwa sab kuch andhera hai,

Is amanat ko mehfooz rakho,

Inki roshni ke zariye apni zindagi ko roshan karo...
-----------------------
Khoob masti dhoom karo, Weekend ko bharpur kharch karo,

In haseen palon ko, Khushi se guzaaro,

In chand lamhon mein, Apne saare gham utaaro,

Ye hain॥zindagi ke vo anokhe pal,

Bankar reh jaayengi, Sunehri yaadein jeevan bhar,

Laayengi muskuraahat zindagi bhar, Aksar yaad aa kar...

Ek anjan rishta...

Ek anjan rishta ban gaya hai is beech,
Use dosti kahun ya pyar main na janun,
Use ek pal dekhe bina na reh paun,
Usse mile bina mayus ho jaun, Chain na paun...

Ab khuda jane॥Is anjan rishte ka matlab,
Dil chahta hai usse izhaar karun,Par kya karun?,
Uske inkar se darta hun,Usse dur hone se darta hun...

Dost bankar rehna hi pasand hai,Bhale izhar kar,
Apne dil ki bat na batayi,Acche dost ki tarah,
Uske dil mein jagah to banayi,
Bas yehi tasalli aur khushi bankar baaki hai...