Friday, November 27, 2009

Apnon ne ghum dekar...

Apnon ne ghum dekar khoob sata rakha hai,

Apni yaad mein dil par bojh bana rakha hai,

Dil ka alam kise bataayein,

Jise bataana chahein vahi hamse khafa hai...


Mujhe aur nahin jeena is duniya mein,

Ye iraada bana rakha hai,

Ab rehta hai har pal bas maut ka intezaar,

Tayyari se janaze mein kafan chupa rakha hai....


Bhale na mil sake hum...

Bhale na mil sake hum, Mikkar na hans sake hum,
Bhale saath nahin hum, Ab bhale aashiq nahin hum,
Par bhi tumhaar naam sunkar, Na jane kyon,
Thama ye dil phir dhadakta hai, Soye mere aankh jaag jaate hain...

Vo yaadon ki hawayein chalkar, Honton par muskuraahat laati hain,
Tumhaare khaatir bheege palkein, Chaahat mein tarsein baahein,
Tum bin chain kahan, Vo khushi vo hansi kahan,
Vo raftaar vo intezaar kahan, Vo bahar vo gulzar kahan...

Main kahan meri jaan kahan, Vo diwanapan vo apnapan kahan,
Na jane kye hue vo vade vo iraade, Vo baatein vo chandni raatein,
Tum bin main nahin mujh bin tum nahin,
Khaayi thi saath jeene marne ki kasmein, Tod kar duniya ki saari rasmein...

Jiye bhi to milkar mare bhi to milkar,
Ab kya hua un kasmon ka un palon ka,
Guzar rahi hai zindagi bas lehar ki tarah,
Jiska koi maksad na ho, jiski koi arzu na ho...

Teri yaad...

Teri yaad ayi aur na jane kya paigam de gayi,

Usmein kashish kya farman de gayi,

Magar vo sare haseen pal taaza kar gayi,

Tumse bitaye chand sunehre lamhon ka maza de gayi,

Yun roz mere khwabon mein akar needein churana gawara nahin,

Dur rehkar bhi har pal apni yaadon se, Mere paas rehna accha nahin,

Dil mein jo ishq ki aag idhar lagi hai, Vo udhar bhi lage gi,

Ye chaahat ki vo pyaas hai jo kisise bujhaaye na bujhegi,

Ismein hum bhale khushi se jalkar raakh ho jayein,

Magar lakh hasraton ke baad bhi is dil se tumhein mitana na payenge...

Dil jiske liye...

Dil jiske liye tarse unse ab tak mulaqat nahi hui hai,
Chain ki zindagi bhala aur kab tak jiyein,
Mere khoye hue josh-o-umang ko jayage,
Jhoota hi sahi kuch pal ke liye hi sahi...

Is sote ko nachaye, Meri baaton ko sune,
Kanch ke is dil ko hifazat se thame,
Hai kio aisa jo is dil ki baat ko jaane,
Hum bhi mast khism ke aashiq hain...

Mujhe samjhe, Mujhe chahe, Mujhe jaane,
Mere saath khushi se apni zindagi guzaare,
Koi aisa jo hamein raas aye,
Koi apna jo dil ke paas aakar mera chain ujaade...

Jugnu bankar ghoom rahe hain,
Har waqt use dhoondh rahe hain,
Uske sath ghoomna chahte hain,
Ghanton bhar baat karna chahte hain...

Hansna chahte hain, Uske sang rona chaahte hain,
Har rang ko chakhna chahte hain,
zindagi ke har saaz ko gaana chahte hain,
Har pal use apne aankhon mein basana chahte hain...

Chand Naghme...

Duniya mein laakhon premi hain,
Magar na karsaka koi is pyaar ko lafze bayaan,
Yadi sab saccha pyaar karna jaante hain,
Phir ulfate bayaan se kyon mukar jaate hain,
Kyon hai sabko apne pyaar par itni fikar,
Pyaar ko jeetna zindagi nahin hai,
Pyaar mein jeena zindagi hai,Pyaar ke liye jeena zindagi hai...

----------------

Dil ko badi takleef hoti hai,
Jab hum jo chahte hain vo cheez hamein nahin milti hai,
Dil ka dard aankh mein ansun banke nikalta hai,
Aur baat labon tak aakar ruk jati hai,
Na jane kyun aksar mere sath aisa hota hai,
Lakh hasraton ke baad bhi jo chaaha vo nahin milta hai...

Tauba Tauba...

Tauba tauba kya zamana aaga ya hai,

Fashion ke naam par naya farmana aaga ya hai,

Modern zindagi ke peeche dhut hokr,

Insaan khud ki pehchaan kho gaya hai,

Ped par jaise girgit ban gaya hai...


Ladke ladki mein koi fark na raha,

Ladkiyon ke baal kat rahe hain,

Hont bandaron jaise dikh rahe hain,

Ladko ke baal badh rahe hain,

Aur inke Moonch kat rahe hain...


Bade hi sharm ke saath kehna pad raha hai,

Ladkiyon ke kapde din ba din kam ho rahe hain,

Lagta hai naam ke waaste badan dhak rahe hain,

Ab ladke-ladki mein koi fark na raha,

Jo ladka pehne vo ladki bhi pehne,

Bas ek naam ke zariye fark raha...


Pyaar ke naam par parwaane chal rahe hain,

Bageechon mein Theatron mein na jaane,

Ladke ladkiyan ishq ke nashe mein dub kar,

Ajeebo-gareeb harkatein kar rahe hain,

Dekhne waalon ko sharmindaa kar rahe hain...


Vehas mein lut hokar, ek doosre se kareeb hokar,

Apni izzat se khilwaad kar rahe hain,

Jaanwaron ki tarha bartaav kar rahe hain,

Ye dekhar kuch shaitaan, MMS bana rahe hain,

Internet ke zariye, unhein bazar mein bech rahe hain...


Apne abru ki izzat karo, Insaanon ki kadr karo,

Maan behnon ki zarra to laaj rakho,

Zamane ke saath khud ko yun na badlo,

Apne vyavhaar aur vichaaron ko na badlo,

Sar fakr se uncha rahe, Naki kabhi jhuka rahe...

Kaisi hai ye zindagi

Apne saath bhi apne baad bhi,
Kahin dhoop kahin chaanv bankar, kabhi chalti hui kabhi bhaagti,
Kabhi prerna ka srot bankar kabhi jytoi ki Kisiki aahat mein kisiki saanson mein,
Sach much ankhai anjaani paheli hai ye zindagi...

Kabhi sahara bankar kabhi sahara dekar,
Kisiki imaandari to kisiki rishwat khori mein,
Kisiki zaroorat to kisiki majboori bankar, Har pal ko apne sath liye,
Har ek pal ka hisab liye,Nirantar aage badhaati rehti hai ye zindagi...

Kabhi muskuraati khilkhilaati hui,
Kabhi gham ke saaye mein dubi hui,
Kabhi nazdikiyan to kabhi badhti duriyan,
Kabhi daraarein to kabhi man mutaav,
Kayi anjaan rishton ke dhaage banaati hai ye zindagi...

Kisi ki awaz mein, Kisi ke sangeet mein,
kisi ke chitron mein, kisi ki ada mein,
Kisi ke kawitaaon mein, kisi ki gazlon mein,
Kisi ke gaane mein, kisi ke naach mein,
Har ek amal ke pehlu mein hai ye zindagi...

Kabhi maan ke god mein, Kabhi baap ki daant mein,
Unki hifaazati-salaamti aur parvarish mein sada rehkar,
Budhaape mein kandha dekar to kabhi sahara bankar,
Har ek karam ka yahin bhugtaan karati hui,
Hazaron karvate leti rehti hai ye zindagi...

Jise aaj tak na koi samajh paya na pehchaan paya,
Na koi padh paya na jiske baare mein koi bol paya,
Kabhi uljhan mein to kabhi suljhan mein,
Sadaa premiyon ki yaadon mein,
Par aaj tak jise na koi parakh paaya vahi hai zindagi...!