Saturday, December 21, 2024

Rukh Karta Hun Tang Galiyon Ki !

Aaj phir rukh karta hun main, Jab un tang galiyon ki,

Pal bhar ubharti khushi, Ojhal hui thi jo in ankhon ki,

Dehlij se goonjti awaz,Kanon bhar maa ke mamta ki,

Roti dhool mitti se lipti, Thanhaayiyon mein khoyi si !

 

Anamika: Meri Bheegi Bheegi Si !


 

Narration for Madan !


 

Friday, December 20, 2024

Jana Gana Mana (HP)!


 

Jana Gana Mana (LP) !

 


Guzre pal ki kyon fikr karta hai !

 


Guzre pal ki kyon fikr karta hai, Jab agle pal ki raah dekhta hai,
 Aashiyaane ki puhar dil mein, Khushi aansu banke chalakta hai !


Saturday, December 14, 2024

Izzat kamane mein arse beet jate hain !


Izzat kamaane mein arse beet jaate hain,

Par ise gawane mein pal bhar nahin lagta,

Bhale koi tarafdaari kare ya naa kare teri, 

Amal aisa kar ke kafan tak maila na pade !

 

Zakhm ubhar jata hai !

 


Zakhm ubhar jata hai, Par kahi baat reh jaati hai,
Zindagi bhi ajeeb daastan hai..
Jawani rang bhar jati hai, Budhape ko pheeki kar !


Sab khuda ka nizaam hai !

 



Sab khuda ka nizaam hai, Jispe ye kaainaat chalti hai,

   Varna ye chirag si jalti duniya,Kabke pighal gayi hoti !

Ghanaa baadal aafat ka !

 

Aaj tujhpese guzra hai, Kal kisi aur se hoke ye guzrega,
Ghanaa baadal aafat ka ye, Har ek se hota hua guzrega,
Chalke jo nihaayti bhare aansu, Ghum bhar ke barsega,
 Duba jo aaj suraj saanjh mein, Kal roshni sa chamkega..

Kyon bhartaa hai fikr itnee, Is pal bhar se zindagi ke liye,
Taraasha jis khudaa ne tujhe, Haalat bhi vahi sudharega !


Mere Jeevan Saathi: O Mere Dil Ke Chain !



Saturday, December 7, 2024

Khud ka yakeen jo nahin khudiko !

Aastha ka khub mazak udaya sabhi ne, 
Bikhre haunslon mein tute maan se dil kehta hai,
  Bharose pe naa raha ab yakeen kisiko, 
Aaine se rubaru khud ka yakeen jo nahin khudiko !


 

Doobti kashti ko kinara nahin milta !


Doobti kashti ko kinara nahin milta, 

Tute haunslon ko sahara nahin milta,

Bade hi mushkil se haalaat hain, 

Zara ehtiyaat se kadam rakhna aye dost,

Nihsaar se is imtehan-e-safar mein, 

Chaanv tak ka tujhe sath nahin milta !



Thoda sa sabr karo !

 



Itnaa bhi besabar naa bano, Thoda sa sabr karo,
                                               Aakhir..
 Besabri se bhare sabr kaa bhi to hisaab hota hai !


Dil-e-hal zahir karna chahta hun !

 

Vaise cheekh-pukar, Dil-e-hal zahir karna chahta hun, 

Dard bhare ubaal ne,Un tamaam raazon ko dubo diya,

Chalke baarish kee tarha, Un ghum bhare aansuon ko,

Masnoon andheri raaton ne,Aainon se parhez kar liya !

Bhale saara zamana ruth jaye !

 


Bhale saara zamana ruth jaye koi ghum nahin, 

Bas ik tera sath chaahiye zindagi aazmane ko,

Hain tayyar gawane ko sab-kuch hoke neelam, 

Paa liya kaafi hai ik tere jaise ashrafi zewar ko !

Aadhi umar guzar gayi !

 


Aadhi umar guzar gayi, Jawaani ko budhaape mein sufaid hote,

Ab bachi adhi simtegi, Budhape ko jawani ke ragon mein rangte !

Hasraton se bhara khel khilona !

 

Zindagi musalsal lamhon ka aazmana hai, Pitare se lais armanon ka khazana hai,

Laziz lutfon ki adaayegi mein lutna hai,  Khali jholi yahan se rukhsat kar jana hai,

Jo kuch bhi hai jeete dam tak ka hai, Hasraton se bharaa hua ye khel khilonaa hai !