Friday, November 8, 2024
Tikaaye rakho pair zameen pe !
Nasihat dhundte reh gaye !
Nasihat dhundte reh gaye hum kitabon mein,
Warqon mein khokar waaze quwwat se jaana,
Ke ye musalsal ilm se nahin zikar se miltii hai !
Thursday, November 7, 2024
Sari umar beparwahi mein guzardi !
Guzarte halaton se majboor hun !
Lachar khamosh hun, Janta hun musalsal aisa nahin hun,
Kya karoon bhai sahab, Guzarte halaton se majboor hun..
Har koi kehta hai, Tuu aakhir khaamosh kyon rehtaa hai ?..
Phir jab baat karta hun..
Apne rawayye-rutbe se,Har koi chup hi to karaa deta hai..
Khaamoshi, Salaahiyat, Sabr jaisi niyamatein jisne bator li,
Zindagi ko sahi saleeke se jeene ki raah, Usne haasil karli..
Zindagi ka fasla saans lene bhar tak ka hai !
Zindagi ka fasla saans lene bhar tak ka hai, Mehmaan tu yahaan lamhe bhar ka hai,
Faqr na kar ke sab kuch tere haq ka hai, Tera muqaddar khud nahin tere bas ka hai,
Sab kuch rabbul-izzat ka hai, Sirf-o-sirf amal ki adayegi tere jholi bhar hisse ka hai !
Ghar se nikla wapsi ka kya bharosa !
Ghar se nikla wapsi ka kya bharosa,Ye taqdir kab kisse khair bhala,
Ghumon ko khushi mein bahaaya, Bin chalke aansu kab ruke bhala,
Jawaani jhurriyon se nikhaara, Umar bin zaahir hue kab chupi bhala !
Mitti ka banaa hai !
Mitti ka banaa hai, Mittii mein hi tu mil jaayega,
Kya laaya tha, Aakhir kya yahaan se le jayega..
Shama parwane se beparwah, Use jal jana hai,
Zindagi ka usool, Har haal mein guzar jana hai,
Waqt kab kis ke liye khair bhala..
Use bas, Ghadi ki rohbari mein guzar jaana hai !
Dagmagaye kadmon mein kho gaye !
Bhula bisraa bhatka kissa hun !
Bhula bisraa bhatka kissa hun, Guzre hue kal kaa hissa hun,
Khudse jeddo jehad karta, Khudi mein ubharta farishta hun,
Ujaale bhar andher saa, Zindaa fikr zindagi dhund raha hun,
Doobti kashti bharose, Falak bhar dariyaa paar kar raha hun !
Insaan mukammal neelam hota hai !
Insaan mukammal neelam hota hai, Ek zindagi ke daav pe,
Kabhi jutake manake rujhake, Ghum bhare ashk chupaake,
Ek pal nahin milta chain se bhara, Guzarne khudke waaste,
Bhale kya le jayega, Vo saath apne...
Aakhir sab kuch yahin ganwaa ke, Siwaaye khaali haath ke !
Khub rote honge tum !
Zarur raat tamaam..
Aansuon ki ranjish mein khub rote honge tum,
Jab gairon ke taanon pe itna jo hanste ho tum !
Kaisi ajeeb kaifiyat zindagi !