Sunday, September 15, 2024

Zindagi to sirf amal-e-bahaana hai !

 


Beinteha se shehar mein khamakhan si jannat ki talash,Zindagi to sirf amal-e-bahaana hai, 

Darmiyan-e-safar ko paar kar,  Nama-e-aamal yaa ilahi Amal-e-aakhirat se nijaat pana hai, 

Pahunche Nabi SAWW ke ummati banke, Unhike raaste unke amlon par tarz-e-amal karte,

Aadhi zindagi guzar gayi kalki fikr karte, Ab bachi aadhi guzregi kiye amlon ka zikr karte !

Saturday, September 14, 2024

Koste rahe tamam umar us zindagi ko !

 


Kabr marhoom se kehti hai, Zindagi ke kis akhri mod pe tum mujhse mile ho,
Hidaayat dena bhi chahoon agar,Tum uspar amal karne ke laayak kahaan ho ?..
Koste rahe tamam umar us zindagi ko,Jiske raahbar beshak tum khud hi the,
Ab ye kaisa ajeeb ittefaq hai..
Kuch kehne mere paas alfaz nahin,Kahi baat amal karne ke tum kaabil nahin !

Friday, September 13, 2024

Sadaa khushiyon se nawaaze aapko !


 

  Allah SWT se duaa hai, Sada khushiyon se nawaaze aapko,

  Duniya ki har bulandee, Vo saare makaam kare ataa aapko,

  Mukammal har dili tamanna, Haqeeqat ban mil jaye aapko,

  Naam-Hunar ho doona chauguna, Khub tarakki mile aapko !

Raat bhar rote rahe siskiyan bharke !

 


   Is kadr naa gir jao dusron ki nazron mein,  Ke phir kabhi uthne ke kaabil tak naa reh paao,

   Raat bhar rote rahe siskiyan bharke tanhaai ki sohbat mein, Dil ke dukhde Dil ko sunaake,

   Sirahana bheeg gaya ashkon mein,Na chain ki saans pal bhar sukoon mila mayassar mein,

   Na jane kab palak khuli subah hui,Phir tamaam apne chale aaye vahi dil ke fasane sunane!

Thursday, September 5, 2024

Sirhane tale thikana mila !

 


Zindagi ne Zindagi mein Zindagi ko, Zinda Dili se jeena sikha diya,

Khamakha bhatakte phire tamaam Zindagi dar-ba-dar, 

                      Jab ehsas-e-mehshar mein, Sirhane tale thikana mila !

Zindagi se badhkar, Zindagi se behtar,

                                    Muntazir nek sirat ustaad aur kahan mile ?..

Waqt ka paband sabko banaya jisne !

 


Zara sa kaanta jo thama, Ilzaam ghadi par khub lagaya sabhi ne,

Pal pal ki masrufiyat mein, Waqt ka paband sabko banaya jisne !

Mukammal kafan sil nikla !

 


Bewafai se bhare bazar mein, Wafaai khareedne thaa jo nikla,

Shifa-e-marham ki pyaas mein, Dawai samajh zehar pee nikla..


Haseen savere ki talaash mein,Raat tamaam charag jalaa nikla,

Tarakki ki hasrat pane..Kya thaa main, Kya se kya aaj ban nikla..


Maan gaye dilse jinhe apna, Vo peeth peeche qabar khod nikla,

Bharte rahe gulshan, Mudke dekha to mukammal kafan sil nikla..


Baraste rahe koson patthar kaafile pe, Darmiyaan-e-safar mein,

Tamaam ashq jholi mein bhar, Us manzil ki aur ab phir chal nikla..