Wednesday, May 22, 2024

Behron ki neend so rahe the !

 


Din ke ujaale mein,Us bheed bhare bazar mein,

Jalke ujad gayi hasti meri, In ankhon ke samne,

Shehar bhar log,Khade tamasha dekh rahe the,

Vo jo zikr karte the, Wafaadari ka bachpane se,

Kar ankhein band, Behron ki neend so rahe the !

Dhoondta hun aise insaan ko !


Vaise log bahut kuch keh jaate hain, Is peet peeche,

Kuch tareef-e-bayan, To kayi shikayat kar jate hain,

Dhoondta hun aise insaan ko, Us bhari mehfil mein,

Jo ho humse roobaru, Aur haqeeqat bayan kar jaye !

Phil jee uthein hum usi kabr se !

 

Phir khayal aata hai, Jee uthein hum usi kabr se,
Jis mein tamaam apne, Kafan sil dafan kar gaye,
Siskiyan bhar cheekhte rahe, Sareaam raah bhar,
Kisi ne bhi dard na suna, Behte aansu na ponche,
Rote rahe,Vo muthi-dar-muthi mitti bharte rahe !

Guzri zindagi, Gaflat-e-aashiyane mein !

 


Dhundta phirta hun, Un char mominon ko,

Jo kandha denge, Ik mere jalse-janaaze ko,

Guzri sari zindagi, Gaflat-e-aashiyane mein,

Ab jo ehsaas hua, Pal bhar ki ehmiyat mein !

Asal kasurvar to hum hi the!


 Koste rahe raah bhar, Khadi dhoop mein parchaai ko,

Chaanv pakar ehsas hua,Ke asal kasurvar hum hi the!

Aks bhi kehta hai nahin main tumsa !

 


Koi to mil jaye aisa, Jo haan mein haan milaye humsa,

Aayine se rubaru, Aks bhi kehta hai nahin main tumsa !

Ik dafa haqeeqat se waqif hone ka !

 


Waise kisse to har koi suna jata hai, Imaan-o-wafadari ka,

Aas hai in aankhon ko, Ik dafa haqeeqat se waqif hone ka !

Kitna anmol anokha hai tu !

 


Dil mein pal pal ubharta,Ik nayaab khayal hai tu,
Lagaadi beech bhare bazar mein, Hai Daav jispe,
Keemti zar-booti ashrafi, Vo nayaab heera hai tu,
Tujhe..
Kya khabar insab ka, Kitnaa anmol anokha hai tu !

Waqt-e-insan zaya na kar !

 

Waqif main agar ittefaq mein, Kisse wafadari ka,

Waqt-e-insan zaya na kar,Kutton se yari nibhata,

Khamakhan sari zindagi,Daav laga dee aison pe,

Jo peeth peeche, Mukammal chaanv jaala gaye !

Sabr-e-jameel !

 


Kyon khamakha sunaata hai, Dili dukhdon ki dastaan sabhee se,

Sabr-e-jameel siwaye khuda ke, Milegi bhala tujhe aur kahan se !

Ashkon bhari takleef !

 

Ashkon bhari takleef, Kyun sunata hai harek ko bewajah,

Tere kisson bhare kaseede sunne, Kaun tera yahaan hai ?

Khuda janta hai teri taseer, Vahi haqiqat-e-rehnuma hai !

Sari zindagi daulat ke peeche guzardi !

 


Sari zindagi daulat ke peeche guzardi, Jo na kabhi teri thi aur naa rahegi,

Sirf-o-sirf amal jo hashr tak kaamil hai, Naa kabhi uski fikr ki na tayyari !

Tere khayalon mein !

 


Dooba rehta hun tere khayalon mein, Paata hun khudko unhee khoye se sawalon mein,

Tere jawaabon ka taasir bhi bada ajeeb hai, Na nainkari hoti hai na razamandi milti hai ! 

Bhoola bisra sa behka hun !

 


Bhoola bisra sa behka hun, Bhatki hui nigaahon mein,

Khudko dhoondta phirta, Jalte bujhte chiraagon mein,

Bachpan ki nishaani,Chehakti dhundle se aayine mein,

Aankhon ki jhurriyan siskiyan bhare..

Karti bhala kiska intezar,Andheron se lipti rahon mein ! 

Uthne ke kaabil tak na reh paao !

 

Itna bhi na girjao dusron ki nazron mein is kadr, 

Ke phir kabhee uthne ke kaabil tak na reh paao !

Na do muft ki nasihat har kisiko yun !


Sirf surat-e-hal jankar, Na do muft ki nasihat har kisiko yun,

Momin ka asal guzre haal to,Ik vahi janta mehsoos karta hai,

Gar ho sake to kardo, Jis kisi ki bhi surat ki ehshan-e-bhalai,

Jo uski zaroorat ko pura kar,Kardegi uske haalat ki bharpaai !

Ubharne tak ka kinara nahin milta !

 


Kaise tareef-e-bayaan karoon main ab, Tere mehakte jalwon ka,

Peeta hun ghut katra katra,Halaq bharne ka bahana nahin milta,

Dub jaun inmein mukammal, Ubharne tak ka kinaara nahin milta !

Monday, May 13, 2024

Zaaya na karo, Mat apna keemti ka !

 


Mat har koi maangta hai sahib,  Koi zarurat jankar koi zaat pehchankar koi bhalai chahkar,

Takleef sune bhi to kaun se,  Siwaaye khuda ke, Jisse jeeta hun zindagi nazar-andaaz kar,

Sehkar sitam mazhab, paise lutmari aur zillat ka, Tarakki ki aad mein jaana khel farebi ka, 

Aaya mauka Bharat maa ki godi saaf karne ka,  Bachaao vatan dekar apna mat keemti ka !