Aaj phir rukh karta hun main, Jab un tang galiyon ki,
Pal bhar ubharti khushi, Ojhal hui thi jo in ankhon ki,
Dehlij se goonjti awaz,Kanon bhar maa ke mamta ki,
Roti dhool mitti se lipti, Thanhaayiyon mein khoyi si !
Likhne ka ye karwan badhtaa rahega, Sher-o-Shayari ka alam chalta rahega, Ruh se nikli awaz ko alfazon mein dhalke, Ruhaani ki syaahi se kalam likhta rahega !!
Aaj phir rukh karta hun main, Jab un tang galiyon ki,
Pal bhar ubharti khushi, Ojhal hui thi jo in ankhon ki,
Dehlij se goonjti awaz,Kanon bhar maa ke mamta ki,
Roti dhool mitti se lipti, Thanhaayiyon mein khoyi si !
Izzat kamaane mein arse beet jaate hain,
Par ise gawane mein pal bhar nahin lagta,
Bhale koi tarafdaari kare ya naa kare teri,
Amal aisa kar ke kafan tak maila na pade !
Sab khuda ka nizaam hai, Jispe ye kaainaat chalti hai,
Varna ye chirag si jalti duniya,Kabke pighal gayi hoti !
Doobti kashti ko kinara nahin milta,
Tute haunslon ko sahara nahin milta,
Bade hi mushkil se haalaat hain,
Zara ehtiyaat se kadam rakhna aye dost,
Nihsaar se is imtehan-e-safar mein,
Chaanv tak ka tujhe sath nahin milta !
Vaise cheekh-pukar, Dil-e-hal zahir karna chahta hun,
Dard bhare ubaal ne,Un tamaam raazon ko dubo diya,
Chalke baarish kee tarha, Un ghum bhare aansuon ko,
Masnoon andheri raaton ne,Aainon se parhez kar liya !
Bhale saara zamana ruth jaye koi ghum nahin,
Bas ik tera sath chaahiye zindagi aazmane ko,
Hain tayyar gawane ko sab-kuch hoke neelam,
Paa liya kaafi hai ik tere jaise ashrafi zewar ko !
Aadhi umar guzar gayi, Jawaani ko budhaape mein sufaid hote,
Ab bachi adhi simtegi, Budhape ko jawani ke ragon mein rangte !
Zindagi musalsal lamhon ka aazmana hai, Pitare se lais armanon ka khazana hai,
Laziz lutfon ki adaayegi mein lutna hai, Khali jholi yahan se rukhsat kar jana hai,
Jo kuch bhi hai jeete dam tak ka hai, Hasraton se bharaa hua ye khel khilonaa hai !
Paisa kamane wale ko rishwat ki aas hai,
Nafzi khwahish wale ko aabru ki pyas hai,
Har koi magan baansuri si dhun mein,
Kisiko jutane ki khwahish kisiko lutane ki,
Jab le jana tai hai kuch nahin yahan se,
Aaye the khaali hath jaoge khali hathon se,
Mil jana hai mitti mein ya jal ke dhuan se,
Kya khaak karoge hiris bhari aas bhar ke !
Dhup mein chaanv dhundta hun,Baarish mein dhup,
Dukh mein sukh dhundta hun, Aur sukh mein sukun,
Buraai mein acchai taltolta hun, Achaai mein salikha,
Bhale saari kaainat bhi karlun main haasil,
Dil mein malal rahega,Ke karna kuch aur to hai hasil,
Ye dariya samete, Dil ke daayre kab simtenge aakhir ?.
Mann karta hai nanha baccha ban jaun,
Chulbuli-natkhati harkaton se sabko rujhaun,
Maa ke aanchal tale Naani ki lori suntaa main,
Nana ki laathi ko galiyon ki sair karaun,
Un dil-e-nadan doston ke sang,
Befikri Laparwahi Khushali befizul kharch karaun,
Thak chuka hun zindagi ke peeche bhaagte..
Shohrat ki hasrat se kyon fikr kamaaun ?..
Kis wajeh se yun bewajeh din-raat guzaarun?.
Zinda hun laash ki tarha,Sirhane tale tamannaon ko nihare,
Beintehaayi talab aanknon ko, Aakhir koi to humein pukare !
Khudko bechne thaa, Bazaar ja pahuncha bade shauk se,
Wapsi mein ehsas hua hal-e-dil ko..
Boli keemat kitni bhi ho, Mol to khareedaar ki sifat pe hai !
Zindagi aksar, Aise mushkil mod pe laakar chod deti hai,
Jahan se sirf-o-sirf..
Guzarne ka mauka milta hai, Manzil ko chunne ka nahin !
Nasihat dhundte reh gaye hum kitaabon mein,Warqon mein khokar waaze quwwat se jaana,Ke ye musalsal ilm se nahin zikar se milti hai !
Nasihat dhundte reh gaye hum kitabon mein,
Warqon mein khokar waaze quwwat se jaana,
Ke ye musalsal ilm se nahin zikar se miltii hai !
Lachar khamosh hun, Janta hun musalsal aisa nahin hun,
Kya karoon bhai sahab, Guzarte halaton se majboor hun..
Har koi kehta hai, Tuu aakhir khaamosh kyon rehtaa hai ?..
Phir jab baat karta hun..
Apne rawayye-rutbe se,Har koi chup hi to karaa deta hai..
Khaamoshi, Salaahiyat, Sabr jaisi niyamatein jisne bator li,
Zindagi ko sahi saleeke se jeene ki raah, Usne haasil karli..
Zindagi ka fasla saans lene bhar tak ka hai, Mehmaan tu yahaan lamhe bhar ka hai,
Faqr na kar ke sab kuch tere haq ka hai, Tera muqaddar khud nahin tere bas ka hai,
Sab kuch rabbul-izzat ka hai, Sirf-o-sirf amal ki adayegi tere jholi bhar hisse ka hai !
Ghumon ko khushi mein bahaaya, Bin chalke aansu kab ruke bhala,
Jawaani jhurriyon se nikhaara, Umar bin zaahir hue kab chupi bhala !
Kya laaya tha, Aakhir kya yahaan se le jayega..
Shama parwane se beparwah, Use jal jana hai,
Zindagi ka usool, Har haal mein guzar jana hai,
Waqt kab kis ke liye khair bhala..
Use bas, Ghadi ki rohbari mein guzar jaana hai !
Bhula bisraa bhatka kissa hun, Guzre hue kal kaa hissa hun,
Khudse jeddo jehad karta, Khudi mein ubharta farishta hun,
Ujaale bhar andher saa, Zindaa fikr zindagi dhund raha hun,
Doobti kashti bharose, Falak bhar dariyaa paar kar raha hun !
Insaan mukammal neelam hota hai, Ek zindagi ke daav pe,
Kabhi jutake manake rujhake, Ghum bhare ashk chupaake,
Ek pal nahin milta chain se bhara, Guzarne khudke waaste,
Bhale kya le jayega, Vo saath apne...
Aakhir sab kuch yahin ganwaa ke, Siwaaye khaali haath ke !
Zarur raat tamaam..
Aansuon ki ranjish mein khub rote honge tum,
Jab gairon ke taanon pe itna jo hanste ho tum !
Beinteha se shehar mein khamakhan si jannat ki talash,Zindagi to sirf amal-e-bahaana hai,
Darmiyan-e-safar ko paar kar, Nama-e-aamal yaa ilahi Amal-e-aakhirat se nijaat pana hai,
Pahunche Nabi SAWW ke ummati banke, Unhike raaste unke amlon par tarz-e-amal karte,
Aadhi zindagi guzar gayi kalki fikr karte, Ab bachi aadhi guzregi kiye amlon ka zikr karte !
Allah SWT se duaa hai, Sada khushiyon se nawaaze aapko,
Duniya ki har bulandee, Vo saare makaam kare ataa aapko,
Mukammal har dili tamanna, Haqeeqat ban mil jaye aapko,
Naam-Hunar ho doona chauguna, Khub tarakki mile aapko !
Is kadr naa gir jao dusron ki nazron mein, Ke phir kabhi uthne ke kaabil tak naa reh paao,
Raat bhar rote rahe siskiyan bharke tanhaai ki sohbat mein, Dil ke dukhde Dil ko sunaake,
Sirahana bheeg gaya ashkon mein,Na chain ki saans pal bhar sukoon mila mayassar mein,
Na jane kab palak khuli subah hui,Phir tamaam apne chale aaye vahi dil ke fasane sunane!
Zindagi ne Zindagi mein Zindagi ko, Zinda Dili se jeena sikha diya,
Khamakha bhatakte phire tamaam Zindagi dar-ba-dar,
Jab ehsas-e-mehshar mein, Sirhane tale thikana mila !
Zindagi se badhkar, Zindagi se behtar,
Muntazir nek sirat ustaad aur kahan mile ?..
Zara sa kaanta jo thama, Ilzaam ghadi par khub lagaya sabhi ne,
Pal pal ki masrufiyat mein, Waqt ka paband sabko banaya jisne !
Bewafai se bhare bazar mein, Wafaai khareedne thaa jo nikla,
Shifa-e-marham ki pyaas mein, Dawai samajh zehar pee nikla..
Haseen savere ki talaash mein,Raat tamaam charag jalaa nikla,
Tarakki ki hasrat pane..Kya thaa main, Kya se kya aaj ban nikla..
Maan gaye dilse jinhe apna, Vo peeth peeche qabar khod nikla,
Bharte rahe gulshan, Mudke dekha to mukammal kafan sil nikla..
Baraste rahe koson patthar kaafile pe, Darmiyaan-e-safar mein,
Tamaam ashq jholi mein bhar, Us manzil ki aur ab phir chal nikla..
Din ke ujaale mein,Us bheed bhare bazar mein,
Jalke ujad gayi hasti meri, In ankhon ke samne,
Shehar bhar log,Khade tamasha dekh rahe the,
Vo jo zikr karte the, Wafaadari ka bachpane se,
Kar ankhein band, Behron ki neend so rahe the !
Vaise log bahut kuch keh jaate hain, Is peet peeche,
Kuch tareef-e-bayan, To kayi shikayat kar jate hain,
Dhoondta hun aise insaan ko, Us bhari mehfil mein,
Jo ho humse roobaru, Aur haqeeqat bayan kar jaye !
Phir khayal aata hai, Jee uthein hum usi kabr se,
Jis mein tamaam apne, Kafan sil dafan kar gaye,
Siskiyan bhar cheekhte rahe, Sareaam raah bhar,
Kisi ne bhi dard na suna, Behte aansu na ponche,
Rote rahe,Vo muthi-dar-muthi mitti bharte rahe !
Dhundta phirta hun, Un char mominon ko,
Jo kandha denge, Ik mere jalse-janaaze ko,
Guzri sari zindagi, Gaflat-e-aashiyane mein,
Ab jo ehsaas hua, Pal bhar ki ehmiyat mein !
Chaanv pakar ehsas hua,Ke asal kasurvar hum hi the!
Koi to mil jaye aisa, Jo haan mein haan milaye humsa,
Aayine se rubaru, Aks bhi kehta hai nahin main tumsa !
Waise kisse to har koi suna jata hai, Imaan-o-wafadari ka,
Aas hai in aankhon ko, Ik dafa haqeeqat se waqif hone ka !
Dil mein pal pal ubharta,Ik nayaab khayal hai tu,
Lagaadi beech bhare bazar mein, Hai Daav jispe,
Keemti zar-booti ashrafi, Vo nayaab heera hai tu,
Tujhe..
Kya khabar insab ka, Kitnaa anmol anokha hai tu !