Saturday, September 23, 2023

Bas aansu aur nahin chalakte !

 


Dhul gaye gham bhare aansu, Zindagi ke musalsal-jadd-o-jahad mein,

Imtehayi halaat aksar majbur karte hain, Bas aansu aur nahin chalakte !

Tuesday, September 12, 2023

Yashoraj Tyagi !


 

Bhar aaye zindagi mein ronakh, Chanke khushiyon ki bauchar,

Ubhre bharpur yun nikhar,Jaise chamke shabnam mein gulzar,

Banke Yashaswi, Chaa jaao tum sabke dilon pe hoke zaar zaar..


Sweekar har avsar, Kar jaao tum Azmat ki bulandiyon ko paar,

Duna Chauguna ho hunar aapka, Joshila rutbaa rahe barkarar,

Naa rahe ko arzu adhuri, Dili har tamanna ho mukammal puri..


Khushi ke mauke aye lakhon baar, Parineeta se ho jeevan sakar,

Jug jug jiyo hazaaron saal,  Jug jug jiyo hazaaron saal Yashoraj !


                                               Yash se Yashaswi, Raj se Yoddha !

Yashoraj Tyagi !


 

Wednesday, September 6, 2023

Ikhtiyaar karle khamoshi!

 Ikhtiyaar karle khamoshi, Tehre paani ki tarha,

Dhuldja saare ghamon se, Phisalte ret ki tarha,

Silde labon ko khamosh, Tazbee mein bank zikr ki tarha,

Khuda ke waste hoja shaheed, Hasan-o-Hussain ki tarha !

Tuesday, September 5, 2023

Aulaad hoke bhi Beaulad raha !

 


Kaash mere askhon ko koi padh paata,Dil ki siskiyon ko koi sun letaa,

Sahare ki aas mein umar bitadi, Aulaad ki chah se mannatein sanwarli,

Saari umar aulaad ki fikr karta raha, Useeki tarafdaari mein juta rahaa,

Aakhri dam tak isi baat ka malaal raha, Aulaad hoke bhi Beaulad raha,

Aulad..Saya banne tak ko to dur, Aansu ponchne ke layak bhi na raha !


Dil ki siskiyon ko suno !

 


In behte ashkon pe naa jaao, Dil ki siskiyon ko suno,

Aansu ponchne se kya fayda, Gehre zakhmon ko silo !

Walidain ka ohda-e-makam !

 

Ittefaq mein walidain ka ohda-e-makam jaan lein agar,

Pal bhar chain ki saans lene tak ki bhi naa hogi khabar !

Zindagi bhar isi baat ka malaal raha !

 

Zindagi bhar isi baat ka malaal raha, Ik gham ka saath chuta ke dooja sila,

Tasalli bhar khushiyon ka gulshan mila, Par aansuon se sath kab chuta bhala !