Saturday, April 30, 2022

Talab husn-e-ulfat !!

 


Teri nigaahon ke siwaye, Dil kahin basta nahin,

Milta inhein aisa sukoon, Kahin aur milta nahin,

Talab husn-e-ulfat ke tasawwur ki hai kuch yun,

Ke muddat-e-deedar ke baad..

Kinhi aur nigahon mein inka basera basta nahin !!

Wednesday, April 27, 2022

Aasmaan se anmol sitare tod laaun !!

 


Mann karta hai ke, Aasmaan se anmol sitare tod laaun,

Zari bhar hazar khwaahishon ki chadar,Inhi se sajaaun,

Reshmi taar se, Musalsal mukammal umeedein piroun,

Apni Tamaam aarzuyein,Ek ek kar ke falak pe niharun..


Kehar bhari raat guzar jaati hai, Armaan sanjote sanjote,

Roshni ubhaar deti hai,Inhein phir dobara ujaagar karke !!

Sunday, April 17, 2022

Haunsla..Hath mein ret ki tarhaa choot ta sa dikhta hai !!


Kuch dhuaan sa dikhta hai, Guzra nazaara dhundla sa dikhtaa hai,

Gaur se dekhun,Wajood mera meri aankhon ke saamne dikhta hai,

Poochta hun mere aks se, Ke kaun ho tum ?...Phirse kyon aaye ho ?..

Ird gird mere ghumte hue,Kyon bewajah apna mehsoos karaye ho,

Kya vahi ho tum,Jo bindaas pankh lagaaye aasmaan mein udte the,

Manzilon ki buldandiyon pe pahunchne, Umang jagaaye rethte the..


Badalte chere ki murkiyon beech, Vahi anjaan sa chehra dikhta hai,

Sehme sehme saanson ke darmiyaan,Phir vahi aashiyaan dikhta hai,

Dil mein aaj naa jaane kyon,Gumaan hara bhara hua sa dikhtaa hai

Haunsle bharaa saya, Hath mein ret ki tarhaa choot ta sa dikhta hai !!

Bikhroon teri aur hoke !!

 


Rafta rafta hoke, Utrun tujhe mein khoke, 

Katra katra peeke, Bikhroon teri aur hoke,

De jaun, Un haseen lamhon ka sukoon tujhe, 

Sanson mein samake, Ho jaun bas tera main !!  

Kitne ashrafiyan ada karun, Mehakte itr-e-jism ko !!

 


Kin lafzon mein bayaan karoon, Shabaab-e-husn ko, 

Kitne ashrafiyan adaa karun, Mehakte itr-e-jism ko,

Noor bhar jata hai,Yun aahista dil mein samaati ho, 

Lamhe bhar ki dhadkan ban, Aahat si nazar aati ho !!

Saturday, April 16, 2022

Bujhte chirag mein jal jaaunga !!

 



Adhoora tha, Adhoora hun,Adhoora hi pighal jaaunga,

Adhuri khwahishon ka, Kabhi inteqaam naa le paunga,

Aas lagi jo zindgani bhar, Use hargiz mita na paaunga,

Dard bharee gardish se, Kaise khudko ubhaar paaunga..


Na ab mera koi, Na main kisiki aur ki yaad ban paunga,

Bin Naam-o-Nishaan, Anokhi pehlu banke reh jaaunga,

Saahil pe ret ke teele ki tarha,Toot Toot bikhar jaaunga,

Khud ke jawabon ko dhundte,Khudi mein simat jaunga,

Bhadakte hue shole jaise, Bujhte chirag mein jal jaunga..

Khushk hawa kya khush naseeb hogi !!

 


Khushk hawa kya khush naseeb hogi, 

Jo tere paak aks to chooke guzri hogi,

Na pucho behaal uska..

Jab tere reshmi zulfon ki silwaton mein, 

Gulabi labon ko peete peete guzree hogi !!

Thursday, April 14, 2022

Gulab Zari si Inaya-e-Noor ho !!



Sust Madmast ho,Dil-o-Jaanam waakai tum zabardast ho,

Husn-e-Shabab lajawab,Khush mijaz si bemisal kitab ho,

Susheel Sahaj, Nihaayati Khoobsurat ki Dil-e-Inaayat ho,

Mehakta roshan chehra, Khil-khilati Noor-e-Mudassir ho,

Reshmi baal, Hansile hont,Gulab Zari si Inaya-e-Noor ho,

Bholi adaa Saadgi bhari fiza,Kambakht Saza-ye-Maut ho !!

Aayine se rubaru, Phir usee sawaal mein khudko dhundta hun !!

 


Anjaan dagar ka musaafir, Bhatki hui raah mein bhatakta hun,

Aayine se rubaru,Phir usee sawaal mein khudko dhundta hun,

Jaane kis momin ki dua hun,Kis maqsad se hai tarasha rab ne,

Sonch ye mann khoklata hai, Bas vahi khamiyana sa rehta hai..

Kitna bhi karguzarun zindagi, Har agla pal anokha sa lagta hai, 

Ek nayi jaan-o-umang bhare,  Aur behtar se jeena sikhaata hai !!

Saturday, April 9, 2022

Mila har mauqa, Pal bhar ka hai !!


Jahan lamhe bhar ka hai,Magar haunsla zindagi bhar ka hai,

Karke mutthi zorr,Dam bharle, Is lamhe mein bharpur jeele,

Milee har niyaamat ko,Dil se chooke,Karle sab niyaaz poore..


Ganwaa na mauqaa yun, Milaa ye mauqaa pal bhar kaa hai,

Mauqa naa ganwa, Milaa har mauqaa to bas pal bhar ka hai !!


Sunday, April 3, 2022

Sil jaaun paak kafan sa, Aakhirat roshan karwaane ke liye !


Faaqe roze rakhta hun, Dil se Fakhr-o-Kufr mitane ke liye,

Khuda se mutmayeen, Raayi bhar eemaan jutaane ke liye,

Chooti kayi ibadatein,Reshmi Khwahishein sajane ke liye,

Bhar liye gunah bhi kayi sare, Duniyayi shakshiyat ke liye..


Hua jo ehsaas wajood ka, Khud ko phirse banaane ke liye,

Sil jaaun paak kafan sa,  Aakhirat roshan karwaane ke liye!