Wednesday, November 27, 2019

Taqdeer saamne khadi nazar aaye !!


Mashaqqat karo itni, Ke kabhi dua ka iraada labon pe na aaye,
Mashaqqat karo itni, Ke kabhi dua ka iraada labon pe na aaye,
Taqdeer bhi khud hi chalke, Tumhare samne khadi nazar aaye,
Taqdeer bhi khud hi chalke, Tumhare samne khadi nazar aaye !!

Wednesday, November 13, 2019

Chut gaya bachpana !!

Chut gaya bachpana, Shohrat ki bheed mein,
Ghirke barsi umar, Hoke sufaid zamane mein..

Dil se naadan bacche ko, Aaj phir hansane do,
Aahista labon se, Masnoon fariyaad jagane do,
Guzishta palon ki sair mein, Do pal nahane do,
Chulbuli-Natkhati harkaton mein, Rawaane do..

Do pal hi sahi, Aaj phir se baccha ban jane do,
Do pal hi sahi, Aaj phir se baccha ban jane do !! # Ruhaani



Saturday, November 9, 2019

Tu jahan ka ik maatr hissa !!



Chand lamhon ki kahaani, Naa zikre zubani hai,
Rab dil mein basta hai, Na mandir-masjid mein,
Inse na maqaam, Naa to pehchan zahir hoti hai,
Zikr-o-Ibadat amal-nama, Dil mein mehfuz hai..

Tu jahan ka ik maatr hissa, Ye jahaan tera nahin,
Pal bhar ka basera, Chand lamhon kaa safar hai,
Aziz-o-Azmat Insaniyat hai, Insani pehchan hai,
Vahi adaaygi hai, Uski fazilat mein hi rihaayi hai !!

Thursday, November 7, 2019

Aakhirat ka maqaam !!




Masjid gaye waqt,Kabristan ka rukh karta hun,
Tamam marhuminon ko, Salam pahuncha kar,
Apne aakhirat ka maqaam, Dhoond aata hoon,
Faqr-Kufr-Ghurur ko, Mitti mein paak dhulke,
Wapsi mein bana imaan,  Jholi bhar laata hun !!

Sunday, November 3, 2019

Aapke aangan ka phool !!





Maa…O Pyari Maa..
Apne angan ka phul khilakar, Os ki chaadar mein sajaana,
Masnun raaton mein aakar,Yaad se vo surmayi lori sunana,
Thandi aanchal mein sar chupaye, Gair nazron se bachana,
Mamta kaa Taj banakar,Uski adaaygi ka karzdaar banana..


Ghar se nikalte waqt, Roobaru hanste do kadam nibhaana,
Ungli pakad saath chal, Jeevan ka maarg-darshan karana,
Apni nek parvarish mein, Kabil-o-tareef insaan taraashna,
Har janam maa ban,Mamta ka do-jahan ko path padhana !!

                                 

Friday, November 1, 2019

Laathi paal li hoti bhala !!



Laathi paal li hoti bhala, Budhape ka sahara to banti, 
Aulad ke bharose, Zindagani bhar mannatein sawarli, 
Jab aain waqt aaya..
Sahara to door ki baat, Dhilase se bhi parhez ho gaye, 
Ghar mein deemak mane, Gair-guzar anjaan kar gaye !!