Chalna hai zindagi bhar akele,
Lekar chalni hai apni mashaal tumhein,
Dekar khud ko haunsla aur bharosa,Tay karna hai ye faasla...
Karo jo karna hai amal dil se,
Peekar khushi aur gham jee se,
Karna hai samna har ek pal ka,
Bhadhte rehna hai ageke safar mein,To phir auron ka kya...
Rone lagoge jab tanhai mein,Aksar saaz-e-ghum mein,
Ponchne honge khud ke aansun,Na koi akar tumhaare aansun ponchega,
Aye the duniya mein akele,Jaoge ek din akele yahan se,
Taykar kar zindagi ka safar apna,
Koi na tumhaare saath aayega,To phir auron ka kya...
So jaoge ek din jab sada ke liye,Na jaan kar ashiyaan apna,
Bandhkar kafan mein, Uthayenge sajakr janaazae mein tumhein,
Tumhaare apne rote rahenge,Puri duniya dekhti rahegi,
Sab milkar dafna kar ayenge,Chodkar kabr mein tannha,To phir auron ka kya...
Dene honge khud tumhein sawalon ke jawab,
khayamat ke din jab ek din uthaye jaooge,
To dena hoga apne amal ka amaalnama,Na koi rahega tumhare khatir,
Sunkar apne dil ki baat,Thaam kar khud ka haath,
Rakh kar pane kaleje par hath,Chalte Chalo Chalte chalo, Aage badhte chalo,
Na kisiki suno, Na kisise daro,Jo karna hai karo, Khushi gham sab yahin bharo,
Maut aane se pehle aisi tayyari karlo,
Ke maut aaye to marne ka koi gham na ho,
Odhkar kafan ko aan mile,Aur dafnaane ke baad janaze ki shaan badhe...!