Ik ajeeb waaqia hai, Zindagi aur maut kaa,
Fasla inke beech, Darmiyan sanson bhar ka..
Yahan koi tera nahin, Yahan koi mera nahin,
Pal pal rang badalti, Duniya pehli see nahin,
Jalwon ka mela hai, Haqiqat se parhez kahin,
Mayawi jagat, Jo rahegi kabhi qaayam nahin..
Ameeri Garibee ke faisle,Apne haq mein nahin,
Jitna bhi kamalo jutalo, Jholi aakhir apni nahin,
Khali haath ke siwaye, Koi bator ke gaya nahin,
Hain sab humraahi, Saath koi aane wala nahin..
Mazhab ke nashe mein, Insan ki kadr karta nahin,
Nazook rishton ki dor, Ye naa toote mumkin nahin,
Aayine si hai zindagi, Kab tak chale koi jane nahin,
Ho rubaru haqeeqat se, Ik pal jeena mumkin nahin..
Ik ajeeb daastan hai, Zindagi aur maut kaa,
Fasla inke beech, Darmiyan sanson bhar ka !!
No comments:
Post a Comment