Thursday, November 1, 2018

Gulab rang ka gulaal galon pe !!


Gulab rang ka gulaal galon pe, Khilti hansi ki chalak aankhon se,
Masumiyat aur saadgi se racha hua nikhar, Khanakta adayegi se,
Kya zameen kya asmaan, Sari kainaat meharban apki muskan pe !!

Hunar bantne se badhta hai !!


Kaash kitabein, Kisike zindagi ki buniyaad banti to behtar hota
Hunar bantne se badhta hai, Chupao zehen ka dimak banta hai !!

Chutki bhar sindhur !!


Chutki bhar sindhur sahi, Zindagi bhar ka haunsla bhartaa hai..
Mit jaaye sindhur jo, Pal pal ka guzarna hi mushkil ho jata hai !!

Sunday, September 9, 2018

Guroor na kar husn pe !!


Itna guroor naa kar apne husn pe, Waqt ki shamaa mein pighal jayegaa,
Parwane sa mizaj nahin hamara, Tujhse aitbaar intezar karte mit jayega !!

Khoye se rehte hain !!


Aapke dasht-e-tasavvur mein,Bekhayaal rehte hain,
Wajood maujood rehta hai, Bas khoye se rehte hain !!

Tasavvur-e-deedar karlein !!

Odhe rakho nigaahon ko, Kuch der aur tasavvur-e-deedar karlein,
Mulazim ban gayi nigahein, Apki nazar-e-noor mein jhuk jaati hai !!

Saturday, September 8, 2018

Insanon mein pehle sa yakeen kahan ?

Insanon mein pehle sa yakeen kahan ?..Hai inmein eeman aur baki kahan ?..
Har koi chehre pe naqaab lagaye rehta, Inmein pehle si asal asliyat kahan ?.

Mazhab ka pata puchte the !!


Har din mazhab ka pata puchte phirte the,
Paani ki talab yoon lagi, Ke paani puch liya !!

Tere aangan ka phool hota !!


Kaash main tere aangan ka phool hota, Har subah oss odhe chamakta,
Mere rang mein tu rang jaata,Tere labon ki chuan mein main khil jata !!

Chupi hui niyaat padh paate !!

Kash hum..
Insan ki chupi niyyat ko bakhubi padh pate,
Jitna ke unke naklee lehje ko padh lete hain !!

Eeman ret saa hai !!


Eeman ret saa hai, Ibaadat ki noor se dhaanp ke rakho,
Na jane shaitan ki hawa, Kab ise apne sath uda le jaye !!

Daastan-e-bayan suna gaye !!


Haal tak na pucha, Daastan-e-bayan suna chal diye,
Unko kya thi khabar, Hum bhi usi daur se the guzre !!

Kudrat-e-mohabbat !!


Pinjre mein band panchi ko kya khabar, Kainat kya cheez hai,
Zara pankh khol udke to dekh, Bahar kudrat-e-mohabbat hai !!

Umdah niyaamat ilm hai !!


Khudaa ki bakhshi, Umdah niyamat lafz-e-ilm hai,
Sadiyon se bikti hui aai hai, Par aaj bhi anmol hai !!

Roz mazar pe phul chadhate hain !!


Kaisee nakaam aulaad bakhshi toone noor-e-ilaahi,
Jab tak zindaa the, Dehleej ka rukh tak nahin kiya,
Rukhsat kya hui, Roz mazar pe phul chadhate hain !!

Friday, September 7, 2018

Peeche mudke tak na dekhaa !!


Aitbar bharte rahe zindagi bhar, Ke taa-umr sath nibhayenge,
Dafana kar muh mod chal diye, Peeche mudke tak na dekhaa !!

Maqaam-o-Wasta mitti se hai !!


Dafan ke baad jana, Har ek ka maqaam-o-wasta mitti se hai,
Khamakha saari zindagi, Daulat ke peeche bhaagte guzardi !!

Kabristan ka mazhab kya hai ?


Kisine kabristaan se pucha, Batao apka mazhab kya hai ?
Awaaz aayi:
Eemaan mera mazhab hai, Sirf-o-sirf deen-e-ilahi rab hai,
Mazhabi mujh mein baste hain, Main mazhab mein nahin,
Mazhab insan ka veham hai, Dar'asal mein ye kuch nahin !!

Khuda se badhkar koi nahin !!



Peer-Mureed aise bhi na bano, Ke Khuda ka aitbaar dil se mit jaye,
Ohda-Darja-Maqaam har ek ka hota hai,  Khuda se badhkar nahin !!

Tuesday, September 4, 2018

Usdaton Ko Salaam !!


Aapki talim ne ilm ki jholi bhardi, Acche-bure ki neev dali,
Hurfon ke kabil na the,Alfazon ko batorke mane samjhaye,
Kalam thama dhalte waqt ke sath, Insan ke rup mein dhala,
Kuch arse ka kirdar aapka,Par seekh taa-umar saath rahegi,
Daant-fatkaar mohabbat banke,Pal-pal aapki yaad dilayegi,
Usdaton ka ashruon se naman karta hun...
Zindagi abhari rahegi, Janmon bhar ehsan chuka na payegi !!

Aitbaar hone laga mujhe !!



Mashooqa ki mohabaat pe, Aahista aitbaar hone laga mujhe,
Kal tak nahin tha, Par aaj khuda pe yakeen hone laga mujhe !!

Sunday, September 2, 2018

Bekhayali ka aalam !!



Na humne kuch kaha, Na aapne kuch suna,
Ab bachi kuchi zindagi..
Isi bekhayali ke aalam mein guzar jaayegi !!

Sabse bichda hun !!


Khudse rootha hun, Dard-e-dil se toota hun,
Tasavvur mein khoke tere,Sabse bichda hun !!

Yaadon pe kafan chadh jayega !!


Saanjh dhal jayega, Dil sambhal jayega,
Guzarte waqt ke saath saath..
Tumhari yaadon pe kafan chadh jaayega !!

Haqeeqt nahin, Dard bhara khwab hota !!


Pani sa samay ki lehron sang beh gaya hota,
Sooraj sa aahista sanjh mein dhal gaya hota,
Chand sa jaag roshni mein bikhar gaya hota,
Parwane sa shama ki lau mein jal gaya hota,
Bedard ruh ko thoda itminaan mil gaya hota..

O Befwafa..
Teri yaad mein din-raat ek pal nahin guzarta,
Waqt thame rehta,Subh-o-sham nahin chalta,
Kash haqeeqt nahin, Dard bhara khwab hota,
Zinda nahin,Kab ke rooh qabz kar gaya hota !!

Chirag jalana hi bhul gaye !!



Dil mein chirag liye nikla andhere sang, Khud ki talaash karte,
Milon dur chalkar ehsaas hua ke, Chiraag jalana hi bhool gaye !!

Haseen lamhon ke panne palat te hain !!


Har guzarte lamhe ko, Dil kee kitaab mein mehfooz karte hain,
Mayusi alam mein,Beete haseen lamhon ke panne palat te hain !!

khuda pe yakeen hone laga mujhe !!



Us mashooqaa ki mohabbat pe, Aitbaar hone laga mujhe,
Kal tak nahin tha, Aaj khuda pe yakeen hone laga mujhe !!

Sabne raah bhatka diya !!


Ab in haaton ko, Kisike sohbat saantwanaa ki zaroorat nahin,
Be-sahare mein jiska bhi hath thama, Sabne raah bhatka diya !!

Mohabbat ki neelami main bik jata hun !!


Jalti lau aur mujhe bas zara si fark hai,
Roshni ke intezaar mein vo jal jaati hai,
Mohabbat ki neelami main bik jata hun !!

Kalam alfaaz ki sohbat nahin chodta !!


Likhne ki yun lat lag gayi, Kalam alfaaz ki sohbat nahin chodta,
Syahi peene ki shauk ne, Maikhane ka rukh karna band kar diya !!

Jee bhar ranglun honton ko !!


Zara jee bhar ranglun honton ko, To yakeen ho jaaye,
Log kehte hain, Ki humein sirf mai peene ka shauk hai !!

Hawas ki lau nahin bujhti hai !!


Tere husn ko peekar jaana, Hawas ki lau kyon nahin bujhti hai,
Sadiyon se bhara pada hai, Par saagar ki pyaas nahin mitti hai !!

Ishq mein dub jao, Kinara milta nahin !!


Jitna peelun surkh labon ko, Jee bharta nahin,
Bin piye honton ke jam ko, Dil ubharta nahin,
Kisi ne sach hi kaha hai..
Ishq mein jab dub jao,To kinara milta nahin !!

Kafan pe kafan odhte rahe hum !!


Lafzon mein kaise bayaan karein, Kitnaa zulm sahe hain hum,
Dil ke har kone,Zakhmon ke siwan pe chaadar odhe hain hum,
Apni masumiyat-lachari-bebasi ka, Khud shikar hue hain hum,
Vo zulm-o-sitam bharte gaye, Kafan pe kafan odhte rahe hum !!

Saturday, September 1, 2018

Noor ruhaani hoti hai, Jismani nahin !!




Noor ruhani hoti hai, Jismani nahin..
Jism ki umar hoti hai, Rooh ki nahin..
Duniyayi rukhsat ke baad..
Insan jism chod jata hai, Rooh nahin !!

Umar se parwaz ho chuke !!



Kisine sach hi kahaa hai, Ke mohabbat kabhi zayeef nahin hoti,
Umar se parwaz ho chuke, Par dilon mein mohabaat jawan hai !!

Jeet intezar karti khadi hai !!


Sunehre khwabon ko pankh laga, Haunslon mein jaan bharne ki deri hai,
Badho sada himmat se aage, Jeet chaukhat pe intezar mein khadi hai !!

Daav chalta hun, Chaal badal deti hai !!


Zindagi ke saath, Sadiyon se chal rahi daud hai,
Kabhi pachad jati hai, To kabhi pachaad deti hai,
Main daav-pe-daav chalta hun,Vo chal badal deti hai,
Thakar chaanv dhundta hun, Darakht sukhaa deti hai,
Ek dusre ko samajhne kee,Ye kaisee hod chali aa rahi hai ?..
Na hum use theek samajh paye, Na vo hamein samjhi hai !!

Halaq mein jaan utarne do !!



Zulm-o-Sitam kayi sahe hain,Taa-umr ronakh se pare rahe hain,
In bejan saanson ko, Jashn-e-Mehfil mein benapah thirakne do,
Ghadee ke kaanton ko, Do aur kadmon tak ki umang bharne do,
Aahista katra katra hoke, Halaq mein ratti-bhar jaan utarne do,
Khusiyon bhari barish mein,Saare ghamon ko dhul-mit jaane do,
Dil mein nayi chah sajake,Zindagi ko naye sirhese jee jaane do !!

Thursday, August 30, 2018

Behaya Nigaahein !!



In behaya nigahon ko, Siwaye nigahon ke tere,
Is dard-e-duniya mein, Kahin chain nahin milta,
Nazar churaane ke, Lakhon bahane milte hain,
Magar kambakht !
Tujhse nazar hatane ka, Ek bahana nahin milta !!

Khamoshi ikhtiyar kar leta hun !!




Ab unke har sawaal pe, Khaamoshi ikhtiyaar kar leta hoon,
Mere jawaabon ka bhi to, Unpe kuch khas asar nahin padta !!

Muddat-e-deedar !!



Aapke muddat-e-deedar mein, Hosh-o-aawaaz nahin,
Sansein chalti hain, Magar dhadkanon ka pata nahin !!

Happywala Birthday Aapa !!

Khudaa se bin maange mili amaanat ho,Hamare ghar ki nazaakat ho,
Har khushee khil uthi tumse, Har ghadi sajke ronakh hoti hai tumse,
Rishte mein badhi behnaa, Dil ke takht-o-taaj mein chamakta gehna,
Chaha har arman mukammal ho, Daman khushiyon mein bharpur ho,
Baa umar sahi salaamat raho, Duniya mein khub kamiyabi hasil karo,
Khuda raham-o-karam bakhshe, Har shan-o-shaukat se nawaze rakhe!

Wednesday, August 29, 2018

Yakeen lafz se dil sisakta hai !!

Wafa ka..Bura mazak udaya apnon ne,
Yakeen lafz sunte hee,Dil sisaktaa hai,
Auron ki to chodo..
Khud ki parchai se hi, Ab dar lagta hai !!


Vah re..Bahar-e-Shabaab !!


Vah re! Bahar-e-Shabaab, Hain tere jalwe laajawab,
Khota hai har parwana, Husn-e-Aakhir mein is kadr,
Ke...Khud ke thikaane ka milta hai, Naa koi jawaab,
Na bachta banda, Na bach ke nikalta bande nawaaz !!

Tuesday, August 28, 2018

Insaan ke do pehlu !!

Accha hota..
Agar sikke ki tarha, Har insaan ke bhi do pehlu hote,
Acchai aur Buraai jaan ne mein, Zyaada der na lagti !!



Kaash hum dilon ko padh paate !!

Itna hunar hota hum mein ke dilon ko bakhubi padh pate,
Saari umar cherhon ki lakeeron pe yakeen karte guzardi !!


Monday, August 27, 2018

Bharose ki ummeed !!

Jab bharose ki ummeed thi, Zameer ne hath chod diya,
Bharose pe yakeen mit'te hi, Zameer ka sath mil gaya !!

Saturday, August 25, 2018

Aagaz vahi rehta hai, Anjam badal jata hai !!



Jawaab dhundta hun, Sawal badal jate hain,
Maane dhundta hun, Alfaaz badal jate hain,
Wasta jodta hun,Log bharosa badal jata hai,
Ayina dekhta hun,Rubaru aks badal jata hai,
Ajeeb ittefaq hai..
Khyal wahi rehta hai, Khwab badal jata hai,
Aagaz wahi rehta hai, Anjam badal jata hai !!