Monday, May 13, 2024

Zaaya na karo, Mat apna keemti ka !

 


Mat har koi maangta hai sahib,  Koi zarurat jankar koi zaat pehchankar koi bhalai chahkar,

Takleef sune bhi to kaun se,  Siwaaye khuda ke, Jisse jeeta hun zindagi nazar-andaaz kar,

Sehkar sitam mazhab, paise lutmari aur zillat ka, Tarakki ki aad mein jaana khel farebi ka, 

Aaya mauka Bharat maa ki godi saaf karne ka,  Bachaao vatan dekar apna mat keemti ka !

Sunday, April 28, 2024

Embracing Age !

Time is a concept, humans created. Age is just a mindset. How you live it, that’s up to you. Day by day you're not getting old, you're getting better. Each day as you grow, try to make better version of yourself by hoping for the best and preparing for the worst.

Count your age by friends, not years and your life by smiles, not tears. It's not how long you live, but how well. In every single moment, do what you like, live with your passion by being yourself.




Saturday, April 27, 2024

Tarikh-e-paidaish mubarak Nadir !

 


Haseen chehre ki taabindagi mein, Muskuraao tum yunhee sada,

Ronakh tasawur-e-faqat se,Guzarte lamhat sabhi sar-ba-sar fida,

Mukammal har dili-tamanna,Jayez masnoon rahmati duayein ata,

Naseeb tamaam khushiyan, Barkat-e-gulzaaron se nawaze khuda,

Rah-e-zindagi Rasm-e-jahan ki,Tarikh-e-paidaish mubarak Nadir !

Sunday, April 21, 2024

Kashmakash ki zindagi !



 

Thak chukaa hun,Teri kash-ma-kash mein aye zindagi,

Barson ki jad-o-jehad, Laakhon koshishon ke baad bhi,

Na sahise tujhko samajh paya hun,Naa mere zamir ko,

Ya khudayi kismat anokni hai,Ya meri zid bematlab hai !

Friday, April 19, 2024

Zindgai Musalsal Chuski !

Zindgai musalsal chuski, Chand lutf-e-pyalon ki,

Keemat to tai hai yahan,Tamam peene walon ki..

         Piyo jaam-e-khushi, Yaa ghum bhare ansuon ki,

         Bhale bharlo jitne peepe,Jis kisi bhi munasib ki,

         Hisaab baraabar yahan,  Har musaafir-o-saaki ki..

                Jab tai ho makam muqarrar, Maghroor-e-ulfat ki,

                Phir kaisi befizool si hasrat, Is jigar-e-naadan ki,

                Ye sajawtein ranginiyan, Mehfile dil-e-nadan ki !



Katra-katra khushk ghum bhare aansu !


Halaq se utarte hain dariya-e-dil mein, Katra-katra khushk ghum bhare aansu,

Aksar chupaye rakhta hun jinhein, Andheron mein kabhi geeli baarishon mein,

Rafta-rafta phir chubhti hai nazar,Lachak machak kar unhi hüsn-e-taaron mein,

Bhale kab kiski simti zindagi, Behisaab se beintehayi makhmali khwabon mein,

Bhale kiski simti ye zindagi,Behisab se beintehayi makhmali khwahishon mein !

Hain jalte samay ki chitaon mein !


Aagaz se palon mein bandhe,Hai le chali sudhbudh zindagi,

Kahan se hum nikle, Kidhar ke ho chale, Jaana kahan hai ?..

Na pal bhar ki raahat, Na saans lene tak ki ab milti fursat ?..

Kaisi ye bewajah si mashaqqat,Kyon ye pal bhar ki harkat ?..

Chal chale hain, Badh chale hain, Jeete jee mit-te chale hain,

Na kal ka ata, Agle pal ka koi pata, Aye kahan, Jana kahan hai ?..

Hasraton se tukdon mein lipte,Hain jalte samay ki chitaon mein !