Friday, August 15, 2025

Naseeb ka mila rookha niwala !


Naseeb ka mila rookha niwaala, Badnaseebi lubhaye halaq se uda gayi,

Subh-o-sham sune kamiyabi kisse, Auron ke hisse kabhi mere naa hue,

Tamannaon ki jholi samete khade hain, Khudaya dil-e-fariyaad to sunle,

Dhundte maqsad insaan-e-wajud ka, Taqdir ki raah chune mashgul hue,

Guzardi zindagi beparwaahi mein, Koi to mile jo rooh-e-parwaah kar de,

Kati sari raat dard-e-chaadar odhe,Koi to jude jo jaan mein jaan bharde ! 

Vo gali vo chaubara !


Dil phir dhoonde, Masnun bachpan ka raasta,

Siskiyan bharte, Pukare ye ise ab phir dubara..


Vo gali vo chaubara, Vo jharna nadi ka kinaara,

Barish bheegi mitti taazi, Dariya sa ubhra pani,

Kagaz kashti dubkiyan liye, Rangi apni rawaani,

Fizaa ke rangon mein,Khushiyan nikhri puraani..


Guzra kal sapna purana, Pal bhar iska ana jaana,

Yaron ke gappe, Sang jinke khaye the gol gappe,

Jhoolon ke mele,Ranjhna sang mukammal phere,

Sab kuch bhula,Lut gaye jahan bhar humhi akele..


Maa ki anchal lori, Papa ka azeem-o-bari kandha,

Nani ke shifa-e-nuskhe, Dadi ke lazeez-e-chuske, 

Nana ki thami jo laathi, Kar Dada ki mehfooz tijori,

Shuru kya hui, Ankhon dayron beech simti kahani.. 


Roz-marra ke bhag-daud lamhon se, Pal churaye,

Dil roye aansu bhare, Khali takiye mein khota hun,

Ye ilteja karte hue, Ke khuda itni meharbani karde,

Azeez apne, Anmol kisse aaj mere hawaale karde..


Vo apar daulat bhi lele, Ye shohrat-e-taaj bhi lele,

Lauta bachpan,Jiski har subh-o-sham thi roshan,

Manzil ki tang galiyon mein, Chute jo sunehre kal,

Waqt se ho bekhabar, Ojhal dhundle vo saare pal !

Aayine se darta raha !

 


Jab tak aayine se darta raha, Haqeeqat se pare raha,

Andheron se lagaav, Parchai se peecha chudata raha,

Roshni mein ruh chupake, Khudise judna chahta raha,

Zindagi ki jang se,Khudiko ehsaas-e-waqif karta raha !

Aankhein meeche so gaya !


 

Dil thake haare aankhein meeche so gaya, 

  Jagane ki firaaq se yaadon ke saye mein chain kahin kho gaya,

Kaha tha subah ko jaldi na aane, 

  Chand ke gurub mein, Suraj ke sath dehleej pe khada ho gaya !

                                                                                

Daayron mein karwatein !


Waqt dhalta hai, Daayron mein karwatein leta hai,

Shab ki nikhar se, Khudko naye rang se odhta hai !

Ta'aluqaat mazboot bante gaye !



 Zindagi ke dhalte lamhon sang,Ta'aluqaat mazboot bante gaye,

Nazuk dor mazbut judti gayi, Rishton mein bunte bandhte gaye !



Mannaton ka chaman !


Chain se bhara hua kal, Mannaton ka chaman dhundta hun,

Khush-haali ka bachpan, Ikhlaas bhari zindagi dhundta hun,

Naani ki kahaaniyon mein mila jo, Vo gulistaan dhundta hun,

Guzre hue daur ka, Sukun bhara zaar-e-aman dhundta hun..


Kho gaya bhagam-bhaag ke bhawandar mein, Kuch is kadr,

Aayine se rubaru,Kash-ma-kash mein khudko dhundta hun,

Desh ki azaadi ke jashn mein, Ab apni aazaadi dhundta hun, 

Mujh se bichda jahaan,Apna astitva pehchaan dhundta hun !!